Add Poetry

Aamd-E-Wasl-E-Baharan

Poet: Asghar Azimabadi By: Syed Asghar Hussain, Patna

Aamd-E-Wasl-E-Baharan, Sar Jo Shukraane Me Tha
Ishq Kya Jaane Ke Kaaba Tha Ke Butkhaane Me Tha

Ek Khumar-E-Dosh-E-Rindan Tere Maikhaane Me Tha
Aks-E-Mai Jaise Ba-Qaid -E- Aaina-Khaane Me Tha

Bas Nigha-E-Shauq-E-Yaktan Tere Mastaane Me Tha
Wo Kisi Me Ab Khan Jo Tere Deewaane Me Tha

Mere Ulfat Ki Jaza Bas Mujhko Apnaane Me Tha
Lazzat-E-Arman-O-Hasrat Dil Ko Samjhaane Me Tha

Wahshat-E-Dil Ka Taqaza Tha Asar Naale Me Tha
Gardish-E-Ayyam The Aur Zauq Veeraane Me Tha

Dene-Waale Mai Tere Andaaz-E-Baqshish Ke Nisaar
Jaanta Tha Kitni Wusat Mere Gham-Khaane Me Tha

Bazm To Ranjgeen Sajai Thi Hi Saaqi Ne Magar
Surkhuru Jo Rang Tha Wo Mere Paimaane Me Tha

Har Qadam Par Toothti Thi Ek Ummid-E-Khastatan
Thokaren Kha-Kha Ke ASGHAR Dil Ko Bahlaane Me Tha

Rate it:
Views: 326
11 Jan, 2015
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets