Add Poetry

Aany Wala

Poet: RIDA AMANAT By: RIDA AMANAT, khanewal

Aany Wala Hai Wo Piara
Aalm Ki Ankhoon Ka Tara

Adam Se Pehly Rab Ne Takhleeq Un Ki Hi Kr Di Thi
Kaaby Pe Ibraheem Ne Bhi To Un Ki Dua Hi Mangi Thi
Su`Haf-E-Mosa Me Un Ki Aamd Hi Ki To Batain Thi
Khushkhabri Bhi Essa Ki Ik Umat Ko Kuch Aisi Thi
Ye Dunia Sari Rab Ne Un K Liay Hi Bnaai Hai

Aany Wala Hai Wo Piara
Aalm Ki Ankhoon Ka Tara

Sardar-E-Quraish Hi Ki Olad Se Makka Plny Wala Hai
Abdullah K Ghar Me Rahmat K Gul Khilny Wala Hai
Amina Bi Ki Godde Me Dekho Chand Utarny Wala Hai
Do Jag Ka Meer-E-Mehfil Ab Dunia Me Any Wala Hai
Jibraeel Ki Dekho Kesi Shan Ki Ye Manadi Hai

Any Wala Hai Wo Piara
Aalm Ki Ankhoon Ka Tara

Dunia Ki Qismt Ka Soraj Aaj Taloo Hai Hony Lga
Arb-O-Ajam Me Kis Ki Amad Ka Danka Hai Bajny Lga
Bujh Gay Aatish Khany Sb Or Heraan Hain Kia Hony Lga
Bray Barroon Ka Takhat Bhi Dekho Khak Me Aj Hai Milny Lga
Arash Pe Do-Jag Ki Shahi Kis K Liay Sjaai Hai

Any Wala Hai Wo Piara
Aalm Ki Ankhoon Ka Tara

Chand Bhi Jis Ka Khilona Hai Wo Teri Godd Me Khely Ga
Qismt Ae Daai Haleema Rab Teri Ab Kholy Ga
Sachaai Se Amanat Se Wo Sb K Dil Ko Mouh Le Ga
Jis Ki Jitni Qismt Hai Wo Un Ki Rahmt Pa Le Ga
Khazanoon Ki Kunji Rab Ne Apni Unhain Thamaai Hai

Any Wala Hai Wo Piara
Aalm Ki Ankhoon Ka Tara

Rate it:
Views: 355
12 Feb, 2012
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets