Add Poetry

Badal Jaati Hain

Poet: Adil Shahzad By: Adil, haripur

Pal Bhar Mein Tamam Umer Ki Sochein Badal Jati Hain
Jin Rahon Per Chaltey Hain Wohi, Rahein Badal Jati Hain

Karney Ko Kia Nahi Kartey Log Muhabbat Mein
Sirf Hamarey Liye Hi Kyun? Rasmein Badal Jati Hain

Woh Aisa Hai K Us Ka Naam Sunney K Tasawwur Say Hi
Hamari Tamaam Tar Saatein Badal Jati Hain

Sochta Hoon Jane Kaise? Kah Paoon Ghi Main Us Say
Milti Hoon To Dil Ki Sari Batein Badal Jati Hain

Chahe “Manzil“ “Dushwar“ Ho Aur “Duur“ Bhi
Humsafer Us Jaisa Ho To Musaftein Badal Jati Hain

Yun To “Raat“ Ka Alam Haseen Hota Hai, Madhosh Bhi
Magar“Chand“Dekhoon To Meri Ratein Badal Jati Hain

Mat Chaho,K Mujhe Aadat Nahi Itna Chahne Walon Ki
Yeh Na Ho Log Kahein, Jald Hi Adatein Badal Jati Hain

Rate it:
Views: 931
07 Jan, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets