Add Poetry

Dil Hai Mera Maqaam-E-Gham

Poet: Akhtar Sheerani By: Anjan Bilal , Srinagar (J&K)

Dil Hai Mera Maqaam-E-Gham, Gham Ka Maqaam Hai Yahaan
Naa’la-E-Subah Hai Yahaan, Giriyaa-E-Shaam Hai Yahaan

Ek Tasawwur-E-Haseen Khilwat-E-Dil Mein Hai Makeen
Deeda-E-Shauq Ke Liye Deed Haraam Hai Yahaan

Nikhat-E-Noor-O-Naar Udhar, Zulmat-O-Soz-O-Saaz Idhar
Subah Hi Subah Hai Wahaan, Shaam Hi Shaam Hai Yahaan

Sahan-E-Chaman Mein Har Jagah Nash’sha Sa Failne Lagaa
Aaj Yah Kaun Mahalaqaa Mast-E-Khiraam Hai Yahaan

Mera Alam’kada Nahin Rang-E-Tarab Se Aashna
Fasl-E-Khijaan Ho Ya Bahaar, Maatam-E-Aam Hai Yahaan

Unke Liye Suroor-E-Naaz, Mere Liye Gham-O-Gudaaz
Gardish-E-Chashm Hai Wahaan, Gardish-E-Jaam Hai Yahaan

Rate it:
Views: 414
06 Jan, 2013
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets