Add Poetry

Kaash Wo Din Be Aaiy

Poet: Saad Ahmed Baghi By: Saad, Lahore

Leader Jaali Naaray Khaali
Awam Baichari Dukhoon Ki Mari

Vote Be Dalain Khun Be Bhaain
Phir Be Koi Murad Na Paain

60 Saloon Say Wohi Kahani
Awam Ka Band Hai Dana Pani

Jarsi Mehngi Tind Nangi
Is Say To Hai Maot He Changi

Na Saans Chalay Gi Na Dil Jalay Ga
Misayal Say Goya Chaen Milay Ga

Kaash Magar Wo Din Be Aaiy
Mulak Main Koi Inqalab Laiy

Saaray Watan Ko Wo Qaomeaay
Zulmat Ka Jag Say Dagh Mittay

Mehloon Bangloon Ko Aaag Lagaay
Ghariboon Ko Unkay Hakooq Dila’ay

Insaan To Door Bakri Ka Bacha
Be Mulak Main Uskay Soay Na Bhuka

Ghurba Kay Bachay Be Jahan School Jaain
Parrh Likh Kay Wo Naam Kamaain

Kisan-O-Hari Fakoon Marain Na
Mazdoor Be Apnay Bhatteoon Main Sarain Na

Log Be Apnay Aapas Main Larrain Na
Na Katl-O-Gharat Na Ho Badkari
Band Ho Mulak Say Chor Chkari

Chman Chman MainAman Aman Ho
Sab Logoon Ka Aik Watan Ho

Rate it:
Views: 1285
10 Jan, 2008
More Political Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets