Kisi Se Piyar Karta Hoon Hamesha Haar Jata Hoon
Mein Jitni Baar Karta Hoon Hamesha Haar Jata Hoon
Kabhi Sham Se Pehle Kisi Jana Ki Ankhon Se
Yeh Aankhen Chaar Karta Hoon Hamesha Haar Jata Hoon
Kabhi Kisi Mehfil Mein Wafa Ki Guftagu Par
Jab Takrar Karta Hoon Hamesha Haar Jata Hoon
Nigahon Mein To Dusron Se Bazi Jeet Jata Hoon
To Jab Izhar Karta Hoon Hamesha Haar Jata Hoon
Ke Shayad Is Dafa Koi Mujhe Apna Bana Le Ga
Hamesha Piyar Karta Hoon Hamesha Haar Jata Hoon