Add Poetry

Meri Qasam

Poet: Bilal By: Muhammad Bilal Shakir, Islamabad

Bohat Dino Ki Baat Thi,
Shabab Per Bahar Thi,
Fiza Bhi Khushgawar Thi,
Na Jaane Kioun Machal Para,
Main Apne Ghar Se Chal Para,
Kisi Ne Mujh Ko Rok Ker,
Bari Aada Se Tok Ker,
Kaha Ke Laut Ayyee,
Meri Qasam Na Jayyee,
Meri Qasam Na Jayyee,
Magar Mujhe Khabar Na Thi,
Mahaul Per Nazar Na Thi,
Na Janey Kioun Machal Para,
Main Apney Ghar Se Chal Para,
Phir Shehar Se Main Aa Gaya,
Khayal Tha Ke Paa Gaya,
Usey Jo Mujh Se Durr Thi,
Magar Meri Zaroor Thi,
Phir Ik Haseen Shaam Ko,
Main Chal Para Salam Ko,
Gali Ka Rang Dekh Ker,
Naye Tarang Dekh Ker,
Mujhe Bari Khushi Hui,
Main Kuch Isi Khushi Main Tha,
Kisi Ne Jhank Ker Kaha,
Paraye Ghar Se Jayyee,
Meri Qasam Na Ayyee,
Wohi Haseen Shaam Hai,
Bahar Jis Ka Naam Hai,
Chala Hoon Ghar Ko Chor Ker,
Na Janey Jaoon Ga Kidhar,
Koi Nahin Jo Rok Ker,
Koi Nahin Jo Tok Ker,
Kahay Ke Laut Ayyee,
Meri Qasam Na Jayyee,
Meri Qasam Na Jayyee

 

Rate it:
Views: 1606
09 Nov, 2007
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets