Add Poetry

Miltee Hai Khoo-E-Yaar Se Naar

Poet: Ghalib By: talat, lahore

Miltee Hai Khoo-E-Yaar Se Naar Iltihaab Mein
Kaafir Hoon Gar Na Miltee Ho Raahat 'Azaab Mein

Kab Se Hoon Kya Bataaoon Jahaan-E-Kharaab Mein
Shab Haaye Hijr Ko Bhi Rakhoon Gar Hisaab Mein

Taa Fir Na Intezaar Mein Neend Aaye 'Umr Bhar
Aane Ka Ahad Kar Gaye Aaye Jo Khwaab Mein

Qaasid K Aate-Aate Khat Ik Aur Likh Rakhoon
Main Jaanta Hoon Jo Woh Likhenge Jawaab Mein

Mujh Tak Kab Unki Bazm Mein Aata Tha Daur-E-Jaam
Saaqi Ne Kuch Mila Na Diya Ho Sharaab Mein

Jo Munkir-E-Wafa Ho Fareb Us Pe Kya Chale
Kyoon Badghumaan Hoon Dost Se Dushman K Baab Mein

Main Muztarib Hoon Wasl Mein Khauf-E-Raqeeb Se
Daala Hai Tumko Weham Ne Kis Pech-O-Taab Mein

Mai Aur Haz'z-E-Wasl, Khudaa_Saaz Baat Hai
Jaan Nazar Denee Bhool Gaya Iztiraab Mein

Hai Tevaree Chadee Huee Andar Naqaab K
Hai Ik Shikan Padee Hui Tarf-E-Naqaab Mein

Laakhaun Lagaav Ik Churaana Nigaah Ka
Laakhaun Banaav Ik Bigaadna Itaab Mein

Woh Naala Dil Mein Khas K Baraabar Jagah Na Paaye
Jis Naale Se Shigaaf Pare Aaftaab Mein

Woh Sehar Muddaa Talbee Mein Na Kaam Aaye
Jis Sehar Se Safina Ravaan Ho Saraab Mein

'Ghalib' Chutee Sharaab, Par Ab Bhee Kabhi Kabhi
Peeta Hoon Roz-E-Abr -O- Shab-E-Maahtaab Mein

Rate it:
Views: 2479
03 Apr, 2008
Related Tags on Mirza Ghalib Poetry
Load More Tags
More Mirza Ghalib Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets