Add Poetry

Mohabbat Ki Intha

Poet: Sardar Kashi By: Kashif, ajk palandri

Koi Aisa Jado Tona Kr
Mery Ishq Main Wo Diwana Ho
Yun Ult Pult Kr Gardash Ki
Main Shamma Wo Parwana Ho

Zara Dehk K Chaal Satarun Ki
Koi Zaicha Khench Qalandar Sa
Koi Aisa Jantar Mantar Parh
Jo Kar Dy Bakht Sakandar Sa

Koi Chila Aisa Kat K Phir
Koi Uski Kaat Na Kar Paaye
Koi Aisa Dy Taveez Mujhy
Wo Mujh Py Ashiq Ho Jay

Koi Faal Nikal Karishma Gar
Meri Rah Main Phool Gulhab Ayn
Koi Pani Phook K Dy Aisa
Wo Piye To Mery Khawab Ayn

Koi Aisa Kala Jado Kar
Jo Jagmag Kr Mery Din
Wo Kahy Mubarik Jaldi Aa
Ab Jiya Na Jay Tery Bin

Koi Aisi Rah Py Dal Mujhy
Jis Rah Se Wo Dildar Mily
Koi Tasbeeh Dam Darood Bata
Jisy Parhun To Mera Yar Mily

Koi Qaboo Kr By Qabo Jin
Koi Saanp Nakal Patari Se
Koi Dhaga Khench Parandy Ka
Koi Minka Iksha Dari Se

Koi Aisa Bool Sikha Dy Na
Wo Samjhy Khush Guftar Hun Main
Koi Aisa Aml Kara Mujh Se
Wo Jany Jan Nisar Hun Main

Koi Dhoond K Wo Qastoori Laa
Isy Lgy Main Chand K Jesa Hun
Jo Marzi Mery Yar Ki Hai
Isy Lgy Main Bilkul Wesa Hun

Koi Aisa Ism E Azam Parh
Jo Ashq Baha Dy Sajdu Main
Aur Jaisy Tera Dawa Hai
Mehboob Ho Mery Qadmu Main

Par Amil Rukk, Ik Bat Kahun
Ye Qadmu Wali Bat Hai Kia
Mehboob To Hai Sar Ankhun Par
Mujh Pather Ki Oqat Hai Kia

Aur Amil Sun Ye Kaam Badl
Yeh Kaam Bhot Nuqsan Ka Hai
Sab Dhagy Is K Hath Main Hain
Jo Malik Kul Jahan Ka Hai
 

Rate it:
Views: 3027
28 Aug, 2018
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets