Add Poetry

Nanhe shohdaa

Poet: Areeba baloch By: Areeba baloch, Multan

Wo Masoom Chehre
Jin Pe Bht Se
Khuwab Tanke The
Bht Si Umeedon Ka
Rang Tha Jin Pe
Bht Si Tamanae
Kai Hasraten
Chamak Rhi Thi
Jin Ki Ankhon Me
Wo Kandhe Unke Jo
Ilm O Hikmat Ki Kitabon Ka Basta Uthae The
Wo Kandhe Jin Pe
Kl Kamzor Bap Ne
Hath Rkhna Tha
Maan Ne Burhape Me
Sahara Lena Tha
Wo Wajood Unka Jo
Bilkul Muatar Muatar
Pak Pakiza The
Jese Seep Me
Koi Moti Rkha Ho
Un Masoom Kaliyon Ko
Nanhi Begunah Jano Ko
Chand Drindon Ne
Chand Hi Lamhon Me
Goli Barood Bamo Se
Chalni Kr Dala
Hr Ghar Me Saf E Matm
Unho Ne Bicha Dali
Hanse Baste Gharon Ko
Ujra Dasht Bna Dala
Behno Ki Banhe Tor Dalii
Maaon Ki Besakhi
Cheen Li Un Se
Baap K Jhuke Naheef Shano Pe
Jawan Lasha Aan Pra
Zameen Pe Us Roz
Hr Ankh Khoon K Aansu Roi Thi
Bhale Wo Kafir Hu Ya Mushrik
Sbhi Is Dard Se Karahe The
Asmaan Bhi Us Roz
Dukh Ki Dabeez Chadar Orhe
Surkh Rangat Liye Hue Tha
Farishte Us Roz Falak Pe
Noha Kanaa Hue The
Bahish Me Hooron K Naghme Geet Bhi
Bain Me Tbdeel Hue The
Puri Dunya Us Roz
Dard Ki Nishter Bhari
Chadar Dil Me Samoe Tha
Puri Duniya Me Rehne Wale
Hr Zee Rooh Ko
Khoon K Aansu Rulane Wale
Sb Ko Ghamgeen Krne Wale
Jinhe Sharam Nhi Ati
Jinhe Dard Nhi Hta
Mgr Sitam Dr Sitam To Ye K Wo Ibn E Yazeed
Khud Ko Musalmaan Kehlate The
Mjhe Btlao Tm Islam Ye Sikhata He!!!!??!
Ya Ye Andaz E Musalmani He??????
 

Rate it:
Views: 563
03 Jan, 2015
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets