Add Poetry

Pahli Baarish

Poet: Maahi hoda ansari By: Maahi hoda ansari, Vns

Wo Jab Bhi Ayegi Yaha Pahli Dafaa
Kyaa Haal Hoga Abhi Se Sochti Hu
Hare Honge Darakht
Hogi Shaam Suhani
Mujhko Lag Rahi Hai Ye Pyaari Kahani
Sar Sabz Honge Gulistaa Bhi Saare
Laut Ayengi Phir Har Taraf Bahaare
Thoda Keechad Sa Hoga
Hogi Dushwaariya Bhi
Sar Par Chadhengi
Uski Khumaariya Bhi
Usme Bheeg Lenge Wo Bacche Ho Ya Boodhe
Phir Padh Jayenge Darakhto Par Bhi Jhule
Haa Aisi Aalame Masti Me
Saare Dhul Jayenge Gam
Naa Tu Hoga Na Mai Hoga
Bas Honge Ham
Thoda Sa Ruthna Thoda Hoga Manana
Shuru Ab Ho Raha Hai
Mausame Bahaar Aana
Khushbu Wo Sondhi
Mujhe Ab Yaad Aati
Wo Waadi Dilnashee Hai
Jaha Chidiya Hai Gaati
Ye Mera Intezaar Ho Shayad Ab Khatam
Khuda Ko Zaat Pe Meri Aaya Rahem
Hai Ye Wakt Kii Kya Khub Saazish
Hai Dono Ru-Ba-Ru Aur Ayi "Pahli Baarish"

Rate it:
Views: 314
05 Jul, 2017
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets