Add Poetry

Raha Aseer-E -Zameer

Poet: Fazlul Hasan By: F.H.SIDDIQUI, Lucknow

Raha Aseer-E -Zameer-O-Ana Wajood Mera
Naheen Bikau Khilona Bana Wajood Mera

Kare Hain Yakja Anasir Mere Wajood Ke Aaj
Jo Chahte The Kabhi Bantna Wajood Mera

Nawaze Ya Na Nawaze Ye Uss Ki Marzi Hai
 Na Ho Ga Ghafil-E- Hamd-O- Sana Wajood Mera

Ayaan Hai Tujh Pe To Zahir Bhi Mera, Batin Bhi
 Kare Ga Kaise Tera Samna Wajood Mera

Lage Ha I Aaj To Gham Haa-E -Rozgar Meih Gum
 Bikhar Na Jaye Kahin Dekhna Wajood Mera

Har Ek Zarra Sama Jaaye Noor-E- Yazdaan Mein
Khuda Kare Ho Kuchh Aise Fana Wajood Mera

'Hasan' Hai Zarf Bhi Darkaar Chashm-E- Beena Bhi
 Bahut Sahal Naheen Pehchan'na Wajood Mera

Rate it:
Views: 556
20 Nov, 2010
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets