Add Poetry

Sandooq-e-Dil

Poet: Faryal By: Faryal, Thailand

Ik Raat Ham Ne Soocha
Kyon Na Dil Ka Sandooq Khoolein
Apni Purani Baatein Soochein
Apni Purnai Yaadein Dekhein
Kya Pata Koi Qeemti Baat Nikal Ae
Koi Bhola Bhatka Sawab Nikal Ae
Kuch Tau Asasa Jamah Ho Ga
Kuch Tau Ab Tak Kamaya Ho Ga

Dharakte Dil Se Dil Ko Khola
Andhere Mein Khana-E-Dil Tatola
Kuch Purani Yaadein Niklin
Kuch Purani Daastanen Milin
Ik Hari Hoi Kahani Thi
Chupi Hoi Talkh Haqeeqat Thi
Meri Purani Gumshuda Muhabbat Thi

Kuch Khuda Ke Qarze The
Baqaya Namaz Aur Rooze The
Kuch Dhake Chupe Gunah Bhi Mile
Mauqe Maghfarat Ke Ik Jagah Tanha Bhi Mile

Kuch Bhi Tau Nahi Qeemti Mere Paas
Ik Udas Zindagani Thi
Mujh Gareeb Ki Kya Kahani Thi
Dil Ke Sandooq Ko Pehle Tau Band Kia
Phir Kuch Sooch Ke Wapas Khool Diya
Ghum Ho Jae Sab Kuch Tau Acha Hai
Sambhal Ke Kya Karna Hai
 

Rate it:
Views: 352
20 Apr, 2015
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets