Add Poetry

Suno!....Ae Chaand Se Saathi

Poet: Wajahat By: Wajahat, karachi

Suno
Ae Chaand Se Saathi

Abhi Tum Kehrhe The Na
Tumhe Mujhse Mohabbat Ho Nahi Sakti

Chalo Maana Ke Ye Sach Hai
Magar Ae Chaand Se Saathi Mujhe Itna Bataao Tum

Ke Jab Mosam Badalte Hain
Guloon Main Rang Bharte Hain

To Phir Kiun Muztarib Ho Kar
Akele Pan Se Ghabra Kar
Hawa Ko Aaas Dete Ho
Mujhe Awaaz Dete Ho

Suno
Ae Chaand Se Saathi

Tumhaare Saamne Koi Mera Jab Naam Leta Hai
To Phir Kiun Chonk Jaate Ho

Chalo Maana Ke Tumhe Mujhse Mohabbat Ho Nahi Sakti
Magar Itna Samajhlo Tum Jahan Chahat Nahi Hoti
Wahaan Nafrat Ke Hone Ka Koi Imkaan Nahi Hota

Suno

Mera Daava Hai Mohabbat Main
Jahan Nafrat Nahi Hoti
Wahaan Aksar Ye Dekha Hai

Ager Kuch Waqt Kat Jaaye
Samey Ki Dhool Chhat Jaaye

To Wehshat Bhaag Jaati Hai
Mohabbat Jaag Jaati Hai

Rate it:
Views: 1249
03 Aug, 2009
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets