Add Poetry

Tareekh Ka Dagh

Poet: Zeebiii By: Zubair Arshad, Lahore

Arbon Ki Fatoohat Ka Wo Shandar Dor
Waleed K Zamanay Me Fatoohat Ka Tha Zor,

Us Azeem Dor Me Ye Bhi Hui Bat, ,, ,, ,
Khaleefa Waleed Ki Bhi Ho Gai Wafat, ,, ,, ,(Waleed Bin Abdul Malik)

Suleman Ko Mil Gaya Khilafat Ka Jo Tkht, ,(Sulman Bin Abdul Malik)
Phir Younhi So Gaye Arbion K Bakht, ,, ,, ,

Suleman Tha Dushman Khoob Hajaj Ka, ,, ,(Hajaj Bin Yousaf)
Hr Frd Khatam Krta Tha Us,K Raj Ka, ,, ,, ,(Governance)

Dushman Hajaj Ka Jo Tha Suleman Ko Tha Mehboob
Azeez E Hajaj Se Uski Dushmani Thi Khoob, ,, ,, ,

Hajaj Ko Suleman K Shr Se Bcha Lia, ,, ,, ,(Shr=Zulm)
Qudrat Ne Usay Phle Hi Zamenn Se Utha Lia, ,(Death)

Ab Bari Thi Hajaj K Alambardaron Ki, ,, ,, ,
Azezon Ki, Yaron Ki, Or Rishtadaron Ki, ,, ,

Ibn E Qasim Kia Khob Tha Unchi Thi Uski Shan,(Mohemed Bin Qasim)
Hr Muslim Krta Tha Qurban Uspe Jan, ,, ,, ,

Ik Din Sawar Ghoray Pe Aya Ik Musalman, ,, ,
Hath Me Qasim K Dia Khaleefa Ka Farman, ,, ,(Suleman)

Likha Tha Khat Me Tumhen Saza E Mot Hai Ab
Batao Lot Rahay Ho Mrnay K Liye Kb? , ,, ,, ,

Ibn E Qasim Ko Ye Suleman Se Phle Hi Thi Umeed
Suleman Ko Thi Khar Ibn E Qasim Se Shadded, ,, ,

Awam E Sindh Bn Gaye Mazboot Ik Dewaar, ,, ,, ,
Khne Lagay Dekhtay Hain Kon Karay Ga Par, ,, ,, ,

Ibn E Qasim Ne Dekha Payar Jo, To Muskura Dia,
Lekin Usne Dewar Ko Peche Hata D Ia, ,, ,, ,

Kaha Khaleefa Se Bagawat Is Khoon Me Nahi, ,,
Me Hosh Me Kh Raha Hon Janoon Me Nahi, ,, ,

Ibn E Qasim Ko Sipahi Le Gaye Sath, ,, ,, ,
Zanjeeron Me Jakar Diye Per Or Hath, ,, ,

Phir Hr Ik Ankh Ko Suleman Ne Rula Dia, ,, ,
Chand Se Ibn E Qasim Ko Qatal Krwa Dia, ,,

Ab Bari Thi Kasghar K Hukmaran Ki, ,, ,, ,
Kia Khoob Dastan Thi Unki Shan Ki, ,, ,, ,

Boht Logon Ko Kia Jisne Musalman Bhi, ,, ,, ,
Heran Tha Fatoohat Pe Unki Aasman Bhi, ,, ,

Qutaiba Ko Mili Jb Qasid Se Ye Khabar, ,, ,(Qutaiba Bin Muslim)
Kia Kr Dia Suleman Ne Ibn E Qasim Ka Hashar

Ro Dia Wo Khoob Or Tha Bhi Pareshan, ,, ,, ,
Mil Chuka Tha Usko Bhi Hazri Ka Farman, ,, ,

Kaha Gardish Me Nahi Mera Abi Sitara, ,, ,
Mere Pas Hai Abhi Talwar Ka Sahara, ,, ,, ,

Mujhe Fazool Ki Mot Ne Q Hai Pukara, ,, ,, ,
Mujahid Ki Mot To Mujh Ko Hai Gawara, ,, ,, ,

Nama E Br Se Dia Qutaiba Ne Ye Pegham, ,,
Cheen Ki Fatah Ka Abhi Adhoora Hai Ik Kam,

Khilafat Se Bagawat Ka Murtakib Nahi Hon Me,
Fatah K Bad Loton Ga Bhaga Nahi Hon Me, ,, ,

Ibn E Sadiq Us Dor Ka Tha Abdullah Bin Abi, ,, ,(Both Munafiaq)
Khaleefa Ka Jo Khoob Tha Dost Or Jansheen, ,, ,

Kaha Usne Suleman Ko Or Hain Rastay, ,, ,, ,
Ap Pareshan Na Hon Qutaiba K Wastay, ,, ,

Phir Ik Din Suleman Ko Khbr Ye Mili, ,, ,, ,
Sun,K Jisko Thi Ye Zameen Bhi Hili, ,, ,, ,

Qutaiba Ko Ibn E Sadiq Ne Qatal Krwa Dia, ,, ,, ,
Yon Ik Or Mujahid Bhi Usne Mita Dia, ,, ,, ,

Ik Or Shikar Tha Haspania Ka Hukmaran, ,, ,, ,(Spain)
Sun Chuka Tha Wo Bhi Sari Hi Dastan, ,, ,, ,

K Jis,K Lashkaron Ne Jalai Thi Kashtian, ,, ,, ,(Tariq Ibn Zayad)
Spain Me Basai Thi Muslim Ki Bastian, ,, ,, ,

Us Se Bhi Tha Suleman Ko Boht Khoob Ber, ,, ,(Ber=Dushmani)
Wo Ik Mujahid Tha Moosa Bin Nusair, ,, ,, ,

Moosa K Jigr Ko Dia Suleman Ne Esa Raish, ,, ,(Raish=Zakham)
Betay Ka Sr Kat K Usko Kia Paish, ,, ,, ,

Kitna Bura Ujara Usne Muslimon Ka Bagh, ,, ,, ,
Aj Bhi Wo Taza Hain Mitay Nahi Hain Dagh, ,, ,, ,

Khuda Ne Us Qom Ko Esay Bachaya, ,, ,, ,
Suleman Ko Usne Zamanay Se Uthaya, ,, ,, ,(Death)

Mrnay Se Phle Suleman Ne Acha Kia Ik Kam, ,, ,
Khaleefa Jinko Chuna Umer Tha Un,Ka Nam,, ,,(Umer Bin Abdul Aziz)
 

Rate it:
Views: 990
03 Dec, 2013
Related Tags on Islamic Poetry
Load More Tags
More Islamic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets