Add Poetry

Uss Nay Dekha Hi Nahin

Poet: "noor" By: Muhammad Zubair, Multan

Teri Khushbuu Ka Patta Kartii Hai
Mujh Peh Ihsaan Hawa Kartii Hai

Shab Kii Tanhaaii Main Ab Tou Aksar
Guftaguu Tujh Say Raha Kartii Hai

Dil Ko Uss Raah Peh Chalna Hii Nahin
Jo Mujhay Tujh Say Juda Kartii Hai

Uss Nay Dekha Hi Nahin Werna Yeh Aankh
Dil Kaa Ehwaal Kaha Kartii Hai

Shaam Parrtay Hi Kisi Shakhs Kii Yaad
Koochaa-E-Jaan Main Sadaa Kartii Hai

Dukh Huwa Karta Hai Kuch Aur Bayaan
Baat Kuch Aur Howa Kartii Hai

Maslaa Jab Bhii Uthha Charaaghon Ka
Faisla Sirf Hawa Kartii Hai
 

Rate it:
Views: 598
26 Aug, 2012
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets