Qudrat Ki Khoobsurati Ko Tabah Mat Kro

(Kulsoom Ghazal, )

Qudrat Ki Sari Sub Cheezen Humain Zinda Rehne Main Madat Deti Hain Per Eik Din Hum Afsoos Krenge K Hum Ne Qudrat Ki Hifazat Nahi Ki Or Kafi Sari Pareshaniyon Ka Samna Krna Parega.

Zameen Haseen Jagah Hai Rehne Liye Ye Humara Ghar Hai Jahan Hum Rehte Hain Humain Is Se Muhabat Karni Chahiye. Zameen Per Wo Sari Cheezen Hain Jiski Zaroorat Insan Ko Hai Per Insan In Sub Cheezon Ko Barbad Kr Raha Hai Or Maze Ki Baat To Ye Hai K Is K Bare Main Sochta Tak Nahi. Hum Pani, Zameen, Janwar, Darakht Sub Cheez Tabah Kar Rahe Hain. Aloodgi Humare Saiyare Ko Barbad Kar Rahi Hai Iski Eik Wajah Barhti Hwi Abaadi Bhi Hai Jese Abaadi Barh Rahi Hai Us K Sath Sath Asaish Se Zindagi Guzarne Per Dihan Hai Log Apni Asani K Liye Gariyon Ka Istimal Kar Rahe Hain, Factoriyan Laga Rahe Hain Jin Se Uthta Dhuwan Fiza Ko Ganda Kar Raha Hai.
Ozone Ki Teh, Jo Zameen K Upper Hai Sooraj Se Ultravoilet Radition Ko Jazb Kar K Zameen Ta Ane Se Rokti Hai Khatam Hona Shuru Hogai Hai. Global Warming Hori Hai. Barhti Abaadi Ki Wajah Se Junglat Ko Khatam Kar K Ghar Banaye Ja Rahe Hain, Paharh Kaat Kar Raste Banaye Ja Rahe Hain.

Junglat Khatam Hone Ki Wajah Se Barishon Ka Nizam Darham Barham Ho Kar Reh Gaya Hai, Barish Na Hone Ki Wajah Se Khatarnak Beemariyan Phel Rahi Hain. Darakhton Podoon Ko Kbhi Furniture Banane K Liye Kbhi Kaghaz Banane K Liye Ya Kbhi Kisi Or Maqsad K Liye Kaat Kr Jala Kr Unki Zindagi Barbad Krdi Gai Hai. Sumandar Bhi Haal Se Behaal Hain, Pani Main 500 Se Ziyada Microplastic K Tukre Or Kachra Hai Jo Sumandari Makhlokat K Liye To Khatarnak Hai Hi Sath K Sath Insani Zindagi Bhi Mutasir Hoti Hai Q K Hum Inko Khate Hain. Boht Se Janwaron Ki Naslen Khatam Hoti Nazar Arahi Hain Janwar Ghayab Ho Rahe Hain Q??? Q K Insan Unka Shikar Kar Rahe Hain Kbhi Khaal K Liye, Kbhi Un K Munh Ya Sir Gharon Main Deewaron Per Sajane K Liye...

“Qudrat Ki In Bemol Or Haseen Cheezon Ko Bachao Q K Humare Pass Dosri Or Koi Jagah Nahi Rehne K Liye”

Kulsoom Ghazal
About the Author: Kulsoom Ghazal Read More Articles by Kulsoom Ghazal: 5 Articles with 5124 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.