Karachi Karachi Karachi
(Afshan Rahman, Chicago usa)
Karachi Ek Bhut Bara Or
Beautiful City Hay Masha Allah.Wahan Her Type Or Her Qisam Ke Log Rehte Hein
Mera Matlab Hay Oon Ki Languages Different Kind Ki Hotee Hein Or Ameer Or Gareeb
Dono Terha Ke Tabke Rehte Hein Ek Teraf Gulshan Iqbal To Thoree Hi Door Bangali
Para Hay.Bhut Khoob Hay Yeh City Lekin Waqt Ke Saath Saath Wahan Masael Berhte
Jarae Hein Logon Ka Ek Hujoom Jo Din Ba Din Berhte Hi Jarha Hay Oos Ki Reason Or
Wajah Kiaa Hay Bhut Se Sawal Zehen Mein Aate Hein Jo Jawab Nahi Pate. Akher Hum
Kin Se Poochen Keh Esa Kioon Hay.Wahan Kia Koee City Council Nahi Hay Kia Elaqa
Ki Dekhbhal Ka Kooee Bhi Idara Nahi Hay .Roads Ka Hal Bhi Bhut Hi Boora Hay
Kooee Bhi Trafic Police Aaed Nahi Hay .Street Lights Tootee Hoowee Hein Bager
Light Logon Ki Cars Or Buses Chal Raee Hein.Ek Meeting Honee Chae Or Doosree
Baat Keh Karachi Mein Zeeyada Log Ko Dakhil Nahi Hone Deaa Jae Ek Limits Honee
Chae .Air Port Se Jane Keh Roads Or Raaste Bhut Sahi Hein Taake Baher Se Aane
Wale Ka Impression Theek Ho Lekin Ek Aam Insan Keh Lia Koee Sahoolet Nazer Nahi
Atee .Karachi Ka Zeeker Is Lia Ker Rahi Hoon Keh Mera Janna Zeeyada Ter Karachi
Hota Hay Or Mene Ye Sub Kuch Dekha Hay Hum Sub Chahen To Karachi Rehne Keh Lia
Best Place Ho Sekta Hay Yeh Zimadaree Tamam Logon Ki Hay.Hum Apne Gher Ko Saaf
Rakhte Hein Per City Ko Bhool Jate Hein Ager Her Mohalle Mein Jo Boys Hein Woh
Group Banaker Gher Gher Jaker Logon Se Bolen Keh Apne Apne Gher Ke Saamne Tak Ki
Safaee Karen To Pooree Streets Saaf Hongee.Jo Fruits Bechte Hein Oon Ke Thelle
Side Mein Hone Chae.Logon Ke Guzerne Ka Raaste Saaf Hone Chae. Ager Chotee Chote
Masle Per Gor Karenge To Bare Masle Se Bhi Bach Jaenge.Hum Ager Khud Ko Zimadar
Samjhen Ge To Hi Kaam Hoga Lekin Her Koee Doosre Se Zeeyada Umeed Rakhta Hay
Apne Ammal Ko Bhool Jaate Hein Apne Ammal Ka Khud Hi Jawab Denna Hay.Sab Ko Apni
Ammal Ko Behter Banane Ki Zarooret Hay Lekin Log Her Waqt Doosre Ki Feeker Kerte
Nazer Aate Hein Log Kiaa Kamarae Hein Log Kiaa Kharae Hein Wagera Or Kuch Ammal
Kerna Chahte Hein Lekin Oon Ko Sahoolet Or Moqa Nahi Milta.Ager Aap Kisee Ko
Achae Or Naiki Ka Sabaq Dete Hein Woh Bhi Adna Naiki Hay Raaste Se Phater
Hattana Ke Kisee Ko Takleef Na Ho Woh Bhi Ek Naiki Hi Hogee.Allah Talla Hum Sab
Ko Naiki Kerne Ki Moqa De Ameen.