Maa 1 Azeem Husti Hai

(sumera ataria, GUDDU)

Gulab Jesi Khushbu, Chodhvi Ke Chand Jesi Chandni, Ferishton Jesi Masoomiyat, Suchai Ka Pekar, Lazawal Muhbbat, Shafqat, Tarap, Qurbani, Jab Ye Tamama Lafz Yakja Ho Jae To Bun Jata Hai Teen Hurfo Ka Lafaz "MAA".

Maa Ke Qadmon Tale Janat Hai.Maa Ko Muskira Kar Dekhne Se Maqbool "HAJ"Ka Sawab Milta Hai.Maa Ki Zindagi Tareeq Raho Mein Roshini Ka Minaar Hai.Maa Aur Phoolon Mein Koi Faraq Nahi.Maa Qudrat Ka Ataa Karda Behtreen Tohfa Hai, 1 Anmol Khzana Hai, Naram Lateef Hawa Ka Jhoka Hai, Beti Ke Sar Ki Chadar Hai, Bilakte Bache Ki Lori Hai, Chandini Ki Thandak Hai, Musibataon Mein Dhaal Hai, Gher Ki Malka Ka Naam Hai, Janat Ki Rinaq Hai, Asmaani Tohfa Hai, Kaiynat Ki Khoobsoorati Ka Raz Hai, 1 Duaa Hai,.

Maa Ki Asal Khoobsoorati Us Ki Muhbbat Hai Aur Meri MAA Duniya Ki Khoobsoorat MAA Hai. Maa 1 Buhat Bari Azeem Husti Hai.Aur Maa Sumandar Ki Gehrai Se Bhi Ziyada Gehri Hai, Jis Mein Olaad Ke Liye Muhbbat, Tahafuz Aur Ahsaas Ke Jazbe Thanthe Marte Hain.

Maa Kehne Ko To Kitna Chota Sa Lafaz Hai, Mager Us Lafaz Mein Kitni Gehrai Hai, Har Koi Is Gehrai Ko Nahi Jaan Sakta Aur Na Hi Is Taq Kisi Ki Rasai Mimkin Hai.

Duniya Ki Muhbbat Dekh Kar Maa Ki Muhbbat Se Inkaaar Na Karen, Because Jitni Wo Olaad Se Piyaar Karti Hai Duniya Ki Muhbbat Us Ke Aage Hech Hai.

Jis Tarha ALLAH TALAH Ki Nematon Ka Shumaar Karna Na Mumkin Hai, Isi Tarha Maa Ki Mamta Ka Andaza Lagana Mushkil Hai, Is Liye Humare Liye Is Se Bari Koi Nemat Nahi.

Ye ALLHA TALAH Ki Taraf Se Humare Liye 1 Azeem Aur Anmol Tohfa Hai, Is Liye Is Ki Qadder Karo, Ta Ke Tum Ko Bhi Qader Ki Nigaah Se Dekha Jae Q Ke MAA Jesi Azeem Husti Bar Bar Nahi Milti.Is Liye Is Se Muhbbat Karo, Ta Ke Tumhe Bhi Muhbbat Mile.Is Ko Tahafuz Do Ta Ke Tumhe Bhi Tahafuz Ka Ahsas Ho.

MAA Ke Bare Mein Jitna Bhi Likhu Kum Hai.....

ALLAH TALAH App Ko Aur Hum Sub Ko MAA BAAP Ki Izzat Karne Ki Tofeeq Ataa Fermayae..............AMEEEEEEEEEN
THANKS

.
About the Author: . Read More Articles by .: 11 Articles with 103930 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.