Ishq
(Sehrish Yazdan Malik, United Kingdom)
                Ishq Bohat Hee Khobsorat Rishta Hota Hai Agr Woh Sacha Aur 
Saaf Ho Tou. Insaan Apni Zindagi Mein Bohat Say Logo Say Pyar Karta Hai. For 
Example..Maan Baap Behn Bhai Etc. Magr Ishq Insaan Sirf Eak Hee Insaan Say Karta 
Hai Woh Insaan Jis Ki Ehmiyat Hamari Life Mein Sab Ziyda Ho. Insaan Kay Dil Mein 
Jab Kisi Kaliye Koi Naram Gosha Qaim Hota Hai Tou Uski Pheli Seeri Pyar Aur 
Isski Akhri Seeri Ishq Hai Jiskay Baad Insaan Moqammal Tor Par Eak Aisay Sanchay 
Mein Dalta Hai Jahan Say Nikalna Mushkil Ho Jata Hai. Log Sirf Waqt Guzari Jisam 
Ko Chonay Ko Pyar Aur Ishq Ka Naam Detay Hain. Jo Sarasar Ghalat Hai Kyunkay Ye 
Eak Bohat Hee Pakeeza Rishta Hota Hai Jo Dil Dimag Aur Roh Say Nibhaya Jata Hai. 
Ishq Jab Roh Mein Bas Jaye Tou Samj Jao Kay Yahi Sachi Mohabbat Hai. Ishq Itna 
Asaan Nhi Hota Insaan Ki Roh Tak Chalni Ho Jati Hai Be Intaha Dard Hota Hai Iss 
Mein. Lakin Phir Bhi Inteha Ka Maza Hai Iss Mein Eak Methi Takleef Hai Jo Insaan 
Ko Us Insaan Say Milti Hai Jisay Woh Behad Ishq Karta Hai. Ishq Jab Ho Jaye Na 
Tou Kuch Bhi Phir Acha Nhi Lagta Insaan Sirf Usse Ko Sochta Hai Jissay Woh 
Bayhad Ishq Karta Hota Hai. Isskay Dil O Dimag Mein Bas Eak Hee Insaan Hota Hai 
Jo Eak Mintue Kaliye Bhi Insaan Say Juda Nhi Ho Pata. Kyunkay Woh Tou Apki Roh 
Mein Bas Choka Hota Hai Aur Agr Roh Jism Say Nikal Jaye Tou Insaan Mar Jata Hai.
Ishq Insaan Ko Khuda Kay Mazeed Qareeb Lay Jata Hai Aur Majazi Ishq Say Hee 
Haqiqi Ishq Ka Taluq Astuwar Hota Hai. Ishq Mein Insaan Ko Bohat Takleef Hoti 
Hai Magr Phir Bhi Bohat Lazat Milti Hai. Woh Insaan Zindagi Mein Rahay Ya Na 
Rahay Ishq Kabhi Khatam Nhi Hota. Kyunkay Uss Insaan Ka Khyal Aur Ussay Pyar 
Karna Hee Hamari Zindagi Hoti Hai. Uss Insaan Say Dor Honay Ka Matlab Hai Ap 
Khud Say Dor Ho Gay Ho. Ishq Mein Insaan Khud Say Ghafil Ho Jata Hai Issay Koi 
Farq Nhi Parta Kay Log Isskay Saath Kiya Kar Rahay Hain. Iss Kaliye Kiya Bol 
Rahay Hain Phir Iss Insaan Ko Inn Sab Cheezoun Say Koi Farq Nhi Parta Kyunkay 
Woh Ishq Ki Uss Bulandi Par Hota Hai Jahan Issay Kisi Dosray Ki Baatoun Ya Inkay 
Rawayoun Ka Koi Asar Nhi Parta. Woh Insaan Apni Dhun Mein Rehta Hai Issay Aur 
Takleefoun Ka Ehsaas Hee Nhi Hota. Seenay Mein Hazaroun Dard Hoon Magr Na Woh 
Kisi Say Kehta Hai Na Kisi Say Koi Shiqayat Karta Hai. Bohat Khush Qismat Hotay 
Hain Woh Log Jo Kisi Say Sacha Pyar Karain Aur Unko Unka Pyar Mil Jaye. Magr 
Aisay Logoun Say Mein Yahi Kehna Chahti Hoon Kay Pyar Mil Janay Kay Baad Iss 
Pyar Ki Qadar Karo Kahin Uss Insaan Ko Kho Na Do Jo Apko Hr Kisi Say Ziyda Pyar 
Karta Hai. Kyunkay Jo Insaan Hum Say Be Inteha Pyar Karta Hai Agr Hum Uski Qadar 
Nhi Karain Gay Tou Woh Na Chahtay Howay Bhi Hum Say Bohat Dor Chala Jaye 
Ga..Kyunkay Ishq Mein Us Insaan Ki Khushi Ziyda Ehmiyat Rakhti Hai Jissay Hum 
Pyar Kartay Hain. Woh Na Bhi Bol Paye Magr Uskay Rawaye Say Zahir Hota Hai Kay 
Woh Kiya Chahta. Behtar Hai Agr Woh Na Bol Paye Tou Isskay Rawaye Ko Samjtay 
Howay Dor Ho Jana Hee Behtar Hai Par Aap Kitnay Hee Dor Kyun Na Ho Jao Pyar 
Kabhi Bhi Khatam Nhi Hota Agar Woh Sacha Ho Tou. Kyunkay Ye Rishta Hee Kuch Aisa 
Hai Jo Kabhi Bhi Khatam Nhi Ho Sakta. Aur Jinkaliye Iss Rishtay Ki Koi Ehmiyat 
Na Ho Woh Kisi Aur Kay Saath Apni Zindagi Achay Say Guzar Letay Hain. 
Ishq Insaan Ko Baybas Kar Deta Hai. Araam Sakoon Sab Cheen Jata Hai Lakin Phir 
Bhi Agr Koi Aisay Pyar Ki Qadar Na Karay Tou Dil Bohat Dukhta Hai Hr Uss Baat 
Pay Jo Apko Aap Kay Pyar Say Dor Kar Rahi Ho. Ishq Khatam Honay Wali Shay Hai 
Hee Nhi Aur Agr Ye Khtam Ho Jaye Tou Samj Lo Tum Nay Ishq Kiya Hee Nhi. Dil Say 
Dil Ka Rabta Aur Roh Say Roh Ka Ye Eak Gehra Rishta Hai. Jo Insaan Ki Mout Kay 
Baad Bhi Kabhi Khatam Nhi Ho Sakta. Insaan Maati Ho Jata Hai Magr Ishq Hamesha 
Zinda Rehta Hai. Ye Taluq Kabhi Khtam Nhi Ho Sakta Agr Iss Mein Sachaye Ho Tou 
Aur Iss Taluq Ko Duniya Ki Koi Taqat Kabhi Khatam Nhi Kar Sakti...Baat Ho Na Ho 
Insaan Us Insaan Kay Mutaliq Sochna Ussay Chahna Nhi Chorta. Aisay Rishtay Ki 
Hamesha Qadar Karni Chaye. Aisay Insaan Duniya Mein Bohat Kam Hotay Hain Jo Apni 
Zindagi Eak Insaan Say Shuru Kartay Hain Aur Eak Pay Hee Khatam Kar Detay Hain. 
Kyunkay Ishq Karna Hr Eak Kay Bas Ki Baat Nhi Hai. Ye Woh Rishta Hai Hee Nhi Jo 
Toot Jaye Jo Ishq Karta Hai Woh Khamosh Zaroor Ho Jata Hai Magr Ishq Karna Nhi 
Chorta . Ishq Eak Anmool Rishta Hai Eak Janoun Hai Jo Insaan Ki Pori Zindagi 
Badal Deta Hai.