Shatan Ka Tariqa
(Iftikhar Ahmed, Karachi)
Yeh Sacha Waqia Meri Wife Ney Mujhey Sunaya Tha Jo Hamari
Shadi Sey Pehley Unkey Mohulley Main Paish Aya Tha. Unkey Mohuley Main Aik Shadi
Shuda Jora Rehta Tha Jin Ki Nai Nai Shadi Hoi Thee. Shadi Key Bad Wo Donon Alag
Ghar Aram Sey Zindagi Guzar Rehey They Yani Joint Family System Main Nahi Reh
Rehey They. Aik Din Kisi Bat Per Donon Main Jhagra Ho Gia Aur Begum Sahiba Roth
Ker Apney Mekey Chali Gain. Unkey Shohar Ko Is Bat Ka Sakht Afsos Hua Aur Shatan
Ney Unko Akaila Pa Ker Mayoosi Ki Halut Main Mubtela Ker Dia. Mashoor Bat Hey
Key Khali Zehan Shatan Ka Headquarter Hota Hey. Iskey Alawa Shatan Ka Aik Nam
Iblees Bhee Hey Jiska Matlab Hey Intehaee Mayoos Yani Wo Allah Pak Ki Rehmat Sey
Moyoos Rehta Hey. Wo Admi Tanhai Main Itna Pareshan Hua Key Na Usney Abpney Ghar
Walon Sey Is Mamley Main Bat Key Na Apney Susral Qareebi Dookan Sey Matti Key
Tail Ki Bottle Laya Aur Apney Oper Chirak Ker Aag Laga Li. Uskey Bad Hona To Yeh
Chahiyey Tha Key Wo Chup Chap Beth Ker Jalta Rehta Kyon Key Usney Ye Sara Kam
Apni Merzi Se Kia Tha Magar Aisa Na Hua Aur Wo Shor Macaney Laga Key Mujhey
Bachao Mujhey Bachao. Shor Sun Ker Kuch Mohlley Waley Jama Huayo Aur Pani Aur
Kambal Wagaira Dal Ker Usko Mazeed Jalney Sey Bachaya. Allah Pak Key Fazal Aur
Karam Sey Us Admi Ki Jan Bach Gai Aur Ilaj Key Bad Wo Kuch Dinon Main Theek Ho
Gia. Kuch Dino Key Bad Kisi Ney Us Sey Poocha Key Jab Tum Ney Khud Apni Merzi Se
Khud Ko Aag Lagai Thee To Bad Main Logon Ko Madad Key Lia Kyon Pukar Rehey The
To Usney Jawab Dia Key Apni Begum Key Roth Ker Mekey Jani Ki Waja Sey Wo Kafi
Pareshan Tha Aur Shatan Ney Us Per Mayoosi Ki Shadeed Kaifiat Tari Ker Tee Thee
Aur Isi Duran Usney Zindagi Ka Khatima Kerney Ka Faisla Ker Lia Tha. Magar
Jaisey Hi Usney Khud Ko Aag Lagai Shatan Yeh Sajhtey Huey Key Usney Is Admi Ko
Point Of No Return Per Pohncha Dia Hey Us Sey Alag Ho Gia Aur Shatani Kaifiat
Key Hutey Hi Uski Aqal Wapis A Gai Aur Usney Logon Ko Madad Key Lia Bula Ker
Abpni Jan Bacha Li. Is Waqiay Sey Humain Yeh Sabaq Hasil Kerna Chahiay Key
Zindagi Main Kabhi Bhee Mayoos Na Hun Aur Apney Allah Pak Per Hamesha Barosa
Rakhain Takey Mayoosi Ki Halat Main Koi Aisa Qadam Na Uthain Jis Sey Huamin Koi
Nuqsan Pohnch Jai Aur Shatan Ko Khush Honey Ka Moqa Miley. Quran Pak Main Allah
Pak Ka Irshad Hey Jis Ka Mafhoom Kuch Youn Hey Key Allah Tala Ki Rehamat Sey To
Sirf Kafir Hi Mayoos Hotain Hain.