Zindagi

(Maimoona, Lahore)

Zindagi Hamesha Ek Jesi Nahi Rehti Hum Lakh Koshish Krty Hen Waqt Ko Badalny Ki Lekin Waqt Hmesha Apne Waqt Pr Hi Badalta Hai Isliye Kbi B Khuwaishon Ko Sr P Sawaar Nhi Krna Chahiye Blky Sbr K Sth Jo Mila H Us P Khush Rehna Chahiye Agr Koi Cheez Apko Nhi Mili To Iska Mtlb Yeh Nhi K Hum Us Pr Rony Lg Jayen Ya Khud Ki Qismat Ko Kharab Kehna Shuru Krden Ya Kh Den K Zindagi Khatam Hogai H Zindagi To Asal Me Wohi Se Shuru Hoti Hai Jab Hum Seekhty Hen Isliye Koshish Kia Kren Mayoosi Ko Apni Zindagi Me Na Any Den Allah Hum Se Bht Pyar Krta H Wo Kbhi B Hmy Hmari Brdasht Se Zada Takleef Nhi Deta Wo Hmy Dekhta H Hmy Azmaata H To Apne Dil K Saary Raaz Allah Ko Btaye Allah Sunta Hai Allah Janta H Dilo Ka Hal Usky Agy Royen Allah Se Allah Ki Mohabat Maangy Duniya Apke Qadmo Me Hogi.

Mein B Phly Bht Mayoos Rhti Sochti Thi Hr Buri Cheez Hr Bura Wqt Mjh Pr Hi Ana Mre Sth Hi Hona H Me Hi Kyu Hr Br Lekin Jab Se Mne Allah K Samny Apne Raaz Rkhna Shuru Kiye Mere Dil Ko Sukoon Milaa Mera Dil Chaha K Me Sajda Krti Rahu Bs Janti Hu Zindgi Jeena Bht Mushkil H Lekin Na Mumkin Toh Ni Hai Na Isliye Wo Kren Jis Se Apka Dil Khush Hota H Kyu K Zindgi Ek Br Mili H Logo K Bary M Soch Kr Isy Zaya Mt Kren Allah K Agy Ek Sajda Insano K Agy Hazar Sajdy Krny Se Behtar H Me Sochti Hu Kbi Kbi K Zindgi Khtm Krlu Lekin Phr Sochti Hu K Wo Log Jo Mjhse Pyar Krty Hen Wo Kia Kren Gy Mre Bghair Bs Yhi Soch Mjy Zinda Rkhti H Khud K Liye Jeena Seekho Zindgi Mukhtasir H Mohabat Den Or Mohabat Len Nafrat K Liye To Wqt Hi Ni H Allah Hum Sb Ko Apne Hifz O Amaan Mein Rkhy Ameen#A
 

Maimoona
About the Author: Maimoona Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.