Bynaam Rishty

(Farzana Hameed, Lahore)

By Naam Rishty Kiya Heen? Wohi Jin Ka Koi Naam Nhi Hota Ya Pher Jin Ko Ham Apni Zindagi Meen Koi Naam Nhi Dy Paty Lekin Pher Bhi Wo Hamary Liy Buhat Khas Hoty Heen.  Jin Ky Bager Hum Reh Nhi Sakty Lekin Rehty Heen.  Kai Dafa Hameen Khud Pata Nhi Hota Or Ham Is Tarha Duhri Zindagi Jena Shuro Kar Dety Heen.  Koi Bhi Ye Nhi Keh Sakta Ky Meri Zindagi Meen Koi Aesa Nhi Aya Jo Ikdam Sy Buhat Khas Lagta Hy.  Hota Hy Bas Ham Kisi Sy Bhi Ye Keh Nhi Sakty Or Bas Aek Hi Ky Wo By Naam Rishty Hoty Heen Ham Khud Un Ko Koi Naam Nhi Dy Paty Lekin Hamari Zindagi Ka Aek Aeham Hissa.  Jo Ham Kisi Batana Bhi Nhi Chaty Or Us Rishty Ko Jety Bhi Heen.   Ap Bhi Apna Dil Meen Jhank Kar Dekhna Koi Aek Aesa Rishta Ap Ky Pass Bhi Ho Ga.  Jisy Ap Bina Kisi Ko Batay Chupky Sy Ap Ji Rahy Heen.  Aek Aesa Rishta Jis Sy Sirf Ap Ka Buhat Gehra Talluk Hy.  Jis Sy Ap Bina Soch Samjhy Bina Us Ko Batay Jatay Buhat Pyae Karty Heen.  Or Karty Chaly Jaty Heen. Jis Ka Khayal Hi Ap Ko Buhat Taqat Deta Hy Sahara Deta Hy.  Wo Rishta Jis App Akely Ghanton Akely Bateen Kar Sakty Heen.  Apna Har Dukh Dard Usy Yaad Kar Ky Bhol Jaty Heen.  Ho Ga Koi Na Koi Aesa Dekheen Tu Sahi. 

 

Farzana Hameed
About the Author: Farzana Hameed Read More Articles by Farzana Hameed: 2 Articles with 3564 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.