TEEKHAR KAY BAHOT BARAY HUKMRAN
HAZRA UMAR (R.A.) Nay Kha K Agar Daryae Neil Kay Kinary Koi Kuta Marta Ha Tu Us
Ka Hasab Bhi Umar Say Liya Jay Ga Aur Bilkul Tehk Kha Tha Kun Kay JAAN KA TAHAFZ
Yeh Wo Nukta Ha Jis Ko Amomi Taur Par Riyast Kay Aur Khasosi Taur Par Jamhoriyat
Kay Tasawar Kay Wajod Mein Anay Saay Laay Kar Aj Kay Daoor Taak Jis Nuktay Ko
Bunyadi Aur Markazi Haseat Hasal Rhai Ha Wo Ha FARD KI SALAMTI Yehni Kay Fard
Kay Jaan Maal Aur Ezat Ka Tahafaz Yeh Wo Bunyadi Zumadari Ha Jis Par Riyasta Ka
Adara Wajood Mein Ata Ha Risat Aur Hakoomat Ka Bunyadi Faflsfa Es Bunyad (Nave)
Kay Opar Khara Ha Aur Ju Riyast Fard Ki Salamti Ko Yaqeni Nhai Bana Sakti Wo
Apnay Wajood Kay Maani Kho Bethti Ha Es Maqadamee Kay Tanazar Mein Taza Tareen
Mulki Halat Ko Dekha Jaay Tu Es Waqat Ki Hakoomat Es Bunyadi Zumadari Ko Pura
Karnay Mein Mukamal Taur Paar Nakam Ho Chuki Ha Aur Jo Amli Taur Es Baat Ko
Tasleem Kar Chuki Ha Na Sirf Yeh Balkay Es Say Agay Bhar Kar Wo Es Mein Malawas
Honay Ka Eqrar Karti Ha Es Liay Jab Soratay E Haal Yeh Ho Yehni Chokidar Chor
Baan Janeen Aur Jab Rahbar Rahzan Baan Jaeen Us Waqat Haal Siraf Yahei Hota Ha
Kay Na Sirf Yeh Ka Logon Ka Ehtasab Kia Jaaay Balkay Yeh Kay Naey Rahbar Talash
Kiay Jaaen Aur Jamhori Mashoorron Mein Aur Rawayat Mein Naey Rahbar Peda Karnay
Ka Yeh Haaq Sirf Vote Ko Hasal Es Liay Pakistan Kay Logon Ka Yeh Haq Aur Farz Ha
Kay Wo Apnay Haq Ko Dobara Estamal Kareen Aur Es Haq Ko Haasal Karnay Kay Liay
Hakoomat Par Dabao Daaleen Aur Jin Logon Par Kaum Pura Aetmad Karay Wo Log Puray
Etmad Kay Sath Apni Zumadari Qabool Kareen.