Soch
(Faisal Bashir, Karachi )
Ajj Kal Duniya Mie Her Jaga
Soch Tabdeel Horahii Hia, America Ki Misal Sub Ke Samnee Hia, Is Hi Terha Ek
Soch Pehly Sabiq Sadar Mushraff Sahab Ke Liyee Ai Ke Buss Mushraf Sahab Go. Ur
Phir Sub Is Mission Per Lag Gaye. Un Ke Badd Ek Itehad Wajood Mie Aya, Ur Phir
Itehad Waloo Ke Soch Mei Furq Agaya Ur Abb Barayee Nam Hi Ithehadd Chal Raha Hia,
Abb Ek Bar Phir Awam Mujoda Hukatmat Se Preshan Nazar Atii Hia, Phir Ek Soch
Ubrii Hia Ke Kese Is Hukmat Se Nijat Hasil Ki Jaye, Hukmat Ko Samjana Chahyee Ke
Woh Hakim Hai Tu Sirf Awam Hi Ki Badulattt, Is Liye Agar Woh Awam Hi Ko hi
Reilef Nahe De Giii Ho Tu Phir Us Ka Rehna B Teqreban Na Mumkin Hiaa, Hukumatt
Ko Chahyee Ke Woh Awam Ka Khayal Rakyee Werna Kahee Aesa Na Ho K Phir Ek
Nehi Soch Uber Ker Haqeqat Bun Jayee Ur Hukumat Ka Namo Nishan Tak Baqi Na Rayee.