Hakeki Hajat Mand....../ Note 5000, Ka -3rd
(Muhammad Yousaf, Islamabad)
Guzashta Say Pewasta......
Gari Ko Road Pay Dalnay K Bad Meri Ab Koshish Eah Thi K Jatni Jaldi Ho Bas Kisi
Tarikay Say Gar Poncha Jay Aor Aftari Main Abi Kuch Waqt Baki Thah.
Kher Main Jaisy Hi Apni Street Main Poncha To Mujay Azan Ki Awaz Meray Kanon Tak
Ponchi Aor Meri Kushkismti Yeah Thi K Jaisy Hi Main Nay Awaz Sunni To Meray Dil
Main Khyal Aia K Ab Gar Ki Taraf Jaany K Bajay Agar Pahlay Roza Aftar Kar Lia
Jay To Yeah Ziada Behtar Rahay Ga,, Abi Yeah Khyal Meray Zahn Main Hi Thah K
Mujay Apnay Smnay Ak Faroot Farosh Ki Reri( Travelling Shop) Nazar Ahai.Maiin
Nay Us K Pass Ja K Gari K Break Laga Di Aor S Say Jaldi Jaldi Kuch Roza Aftar
Karnay K Liy Kuch Mangnay Laga Kher Main Nay Roza Aftar Kia To Phir Main Nay
Socha K Kuch Kal Ki Aftari Kliy B Lay Loon Kher Main Wahan Say Kuch Farot Wagera
Kharednay Main Masroof Ho Gi A..... Is Doran Ak Awaz Meray Kano Ko Bar Bar Cho
Rai Thi Lakin Main Ignore Kar Raha Thah .Kher Main Jaldi Say Waha N Say Jaisy Hi
Nikla Aor Wahan Say Guzra To Meray Kano Main Ak Awaz Pari K ( Meray Pass Sehri K
Liy Kuch Nai Hy Main Nay Sehri Karnay Hy Allah K Nam Pay Kuch Day Do Meray
Bachay Bhooka Hain) Bas Yeah Awaz Sunni Thi K Meri Gari K Break Khud Bakhud Lag
Gai.....
Jaisy Hi Main Nay Break Lagai To Woh Shaksh Jis K Umar Takreban Mujay 60sal Ka
Kareeb Lag Rai Thi Aor Halat Bhot Ghare Thi Aor Main Nay Foran Jab Paras Main
Hath Dala To Main Nay Ak Note Nikal K Us K Hath Pay Rakh Dia...
(To Be Contuned)
Next Part Is Last Part