Hakeki Hajat Mand ..../ 5000 Ka Note
(Muhammad Yousaf, islamabad)
4th, & Last Part.
Guzashta Say Pewasta.......
Kher Mainnay Jab Apni Pocket Say Paras Nikala To Main Nay Yeah Nai Dekha K
Kitnay Ka Note Main Nay Us Fakeer Ko Pakraya. Kher , Note Rakhnay K Bad Jab
Fakeer Nay Hath Pechay Khencha To Us Nay Phir Apnay Hath Pay Nazar Dali Aor Phir
Us Ki Ankhoun Main Main Nay Aik Ajeeb Si Kushi Dekhi Jaisy Kah Raha Ho K Allah
Tumara Bhalla Karay. Lakin Us Nay Apnay Alfaz Main Mujay Dua Di( Allah Tudan Bon
Desi) Means K Allah Tumhain Bhot Day Ga.... Wasiy Aksar Main Nay Aisa Suna Hy K
Fakeer Hazrat Ko Jab Bi Kuch Kherat Di Jay To Woh Kahtay Hain Bhalla Ho Allah
Bhot Day, Bhot Day Aor Bhot Day Ga Main Mujay Bhote Fark Mehsoso Huwa . Kher
Main Jaldi Say Gar Ki Barha Aor Phir Dosri Subho Office K Liy Nikle Ghia.
Aj Sham Ko Main Thora office Say Jaldi Nikla Tha Kay Aftari Ghar Ja K Kar
Aakoon. Aor Jab Wahan Hi Poncha Jahan Us Din Mujay Aik Fakeer Baaba Milay
Thay... To Kia Dekha K Wohi Fakeer Baba Bari Tezi Say Meri Gari Ki Taraf Barhay
Aor Meri Gari Roknay Ki Koshish Ki Kher Pehchan To Main Nay Unhain Ussi Waqt Lia
Thah Jab Unhoon Nay Meri Gari Ko Roknay K Liy Aistsa Say Hath Aghay Bharhaya
Thah.. To Main Nay Shesha Nechay Utara To Ki Adekhta Hoon K Un Baba Ji K Hath
Main Aik 5000/- Ka Note Thah Jo Woh Meri Taraf Barha Rahay Thay Main Na Chahtay
Huway B Yeah Sawal Poch Betha K Bab Ji Yeah Kia Hy.... To Baba Ji Foran Bol
Uthay K Beta Yeah Shahid Kal Tum Ghalti Say Mujay 5000/- Ka Note Day Ghay
Thay..... Kyoun K Pak Rs Main Rs: 20 Ka Note Aor 5000/- Ka Note Main Almost Same
Colour Hy Rat Ko Aksar Dhoka Ho Jata Hy .... To Main Nay Baba Ji Say Kaha K Baba
Ji Abi Tak Aap Nay Yeah Note Kharch Nai Kia To Bola Beta Main Samja K Tum Nay
Yeah Kal Rat Ki Tareki Main Ghalti Say Day Dia Hy Is Liy Yeah Note Main Nay
Kharch Nai Kia Aor Bhokay Payas Sab Nay Roza Rakha.To Main Nay Baba Ji Say Kaha
K Baba Main Nay Khud Ap Ko 5000/- Ka Note Dia Hy To Woh Meri Is Bat Pay Bhot
Kush Huway Aor Mujay Bhot Duain Di Aor Chalayy Ghay Phir Mujay Us Din K Bad
Kahan Kahan Say Pasay Millay Mujay Khud Nai Pata..
Moral: Asal Main Aisy Hi Log Hakeki Hajatmand Hotay Hain.......
(End)