Umeed-e-Bahar Rakh

(SamReen Bukhari, Lahore)

Pakistan Ke Halat Din Ba Din Bad Se Bad Ter Hotey Ja Rahy Hain... Awam Zahni Tur Se Thak Chuki Hai, Her Any Wala Din Aik Naee Musibat Sath La Raha Hai. Logon Ko Marney Ke Liyey Hakomat Ka Mhangaee Ka Hathyaar Hi Kuch Kam Nahi Tha Us Per Dehshat Gardi Main Hoty Din Ba Din Izafey Ne Logon Ko Khoof Zada Ker Rakha Hai Ghar Se Nikalty Hoye Kisi Ko Yey Yaqeen Nahi Ke Wo Wapis Bhi A Saky Ga Ya Nahi. Pakistan Ka Mustaqbil Tareeq Ho Chuka Hai, Pakistan Mali Tur Per Bohraan Ka Shikaar Hai. Pakistan Tabahee Ke Dahany Per Tu Kab Se Kahra Tha Ab Wahan Se Girny Wala Hai...

Yey Wo Beshomar Batain Hain Jin Main Beshak Haqeqat Hai, Us Ke Ba Wajood Kia Hum Log Sach Main Duny Ke Mutabiq Himat Haar Chukey Hain? Kia Waqaee Hi Dunya Ka Media Ya Jo Kuch Kah Raha Hai Jo Hum Rouz Akhbar Main Parhty Hain Wo Hi Sach Hai? Jo Yey Bol Raha Hai Ke Pakistan Aur Pakistanioon Ke Paas Zinda Rahny Aur Jeny Ka Koi Rasta Nahi Bacha Pakistan Mali Tur Per Aur Pakistani Zahni Tur Per Kangal Ho Chuky Hain.Tu Kia Sach Main Hum Log Zindagi Haar Gye Hain? Is Sawal Ka Jawab Jab Main Ne Ik Samjhdar Bohat Hi Parhy Laikhy Aur Dunya Ke Halat Per Gahri Nzar Rakhny Waly Hazrat Se Pochaa Tu Wo Boley Ke Han Ab Tu Koi Rasta Nazar Nahi Ata Humarey Paas Kuch Baki Nahi Hai, Hakumti Sata Per Jo Logg Hain Un Ko Sirf Apny Bank Bharny Ki Fiker Hai Phir Mulk Aur Awam Chayay Jahanum Main Jay, Bas Ab Is Mulk Main Jeeny K Liyey Kuch Baki Nahi. Aur Jab Yey Hi Sawal Main Main Ne Aam Pakistani Se Kia. Jis Ke Paas Bohat Ala Taleem Nahi Thi Bohat Sa Paisa Nahi Tha. Jis Per Mahngaee Ka Sab Se Zayada Asar Ho Raha Hai Jo Kisi Bhi Dhahshat Gardi Ki Sorat Main Hony Waly Hadsey Main Sab Se Zayada Mutasir Hota Hai Jo, Waqt Ki Chaki Main Akela Hi Buri Tarhan Se Piss Raha Hai Jab Us Se Pocho Ke Kia Pakistan Khatam Hony Wala Hai? Kia Pakistan Aur Pakistani Himat Haar Gye? Tu Wo Aam Admi Kuch Deer Khamoshi Se Chahry Ko Daikhta Hai, Phir Aik Gahri Saans Leyta Hai Aur Hum Kalam Hota Hai' Ke Bohat Mushkil Dour Se Guzar Rahey Hain Hum Log, Ghareeb Ki Kamar Toor Ke Rakh Di Hai Hakumat Ne. Ata.. Pani.. Bijli ..Ke Ilawa Kuch Sochny Ki Muhlat Hi Nahi Dey Rahy Yey Log. Amm Addmi Ki Tu Zindagi Hi Maflooj Ho Gai Hai.

Per Us Ke Ba Wajood Bhi Hum Zinda Hain. Yey Qoom Soo Zaroor Gai Hai Per Mari Nahi Hai, Her Din Apny Sath Ik Musibat Beshak La Raha Hai, Aur Mushkilaat Main Rouz Ba Rouz Izafa Bhi Ho Raha Hai,,, Perrrr Is Sab Ke Sath Jo Baat Humain Zinda Rakhny Ke Liyey Kafi Hai Wo Hai UMEED Jo Aik Musalman Ka Sab Se Bara Aur Mazboot Hathyaar Hai, Her Guzarta Din Agar Humain Mayoos Kerta Hai Tu Her Any Wala Din Ik Naee Umeed Aik Naya Yaqeeen Humary Ander Bhahrta Hai, Doobta Soraj Yey Peghaam Dey Ker Jata Hai Ke Yaad Rakhoo Main Abhi Doob Zaroor Raha Hon Magar Kal Phir Se Chamakny Ke Liyey. Khuda Ki Banaee Her Makhlog Jab Raat Ke Bad Phir Se Din Hony Per Yaqeen Rakhti Hai Tu Phir Wo Makhloq Jo Sab Se Afzal Hai Wo Himat Kasey Haar Sakti Hai,,

Hum Zinda Hain Aur Zindagi Ka Dosra Naaam Umeed Hai, Per Yey Zindagi Jeny Wala Agar Aik Musalman Hai Tu Zindagi Ka Naaam Sirf Umeed Hi Nahi Bal Ke Umeed Aur Khuda Ki Zaat Per Yaqeeen Kamil Ka Naaam Zindagi Hai, Us Ka Yey Jawab Mujhy Yey Laikhny Per Majboor Ker Gaya.

K Han Waqr Bura Zaroor Hai, Mushkil Bhi Hai Her Gali Her Ghar. Se Matam Ki Sada Buland Ho Rahi Hai, Humary Log Mar Rahy Hain, Ata Nahi Hai Bijli Nahi Hai Pani Nahi Hai, Per Haan Hum Phir Bhi Zinda Hain. Hum Zinda Hain Aur Zindagi Ki Jang Lar Bhi Rahy Hain, Bas Kabhi Kabhi Hota Hai Na Ke Medaan-E-Jang Main Jab Sipahee Bohat Deer Tak Larta Hai Tu Kuch Nidhaal Ho Jata Hai Per Jasey Hi Dushman Bharpoor Takaq Se Humala Karta Hai Tu Usmain Bhi Ik Naya Walwala Aik Naya Josh Paida Hota Hai Aur Wo Phir Se ALLAH Ka Naam Ley Ker Medaan Main Pori Himat Se A Jata Hai. Hum Log Nidhaal Zaroor Ho Gye Hain. Per Lar Rahy Hain Aur Lartey Rahain Gay Us Waqt Tak Jab Tak Raaat Khatam Nahi Ho Jati Us Waqt Tak Jab Din Ka Soraj Phir Se Talou Nahi Ho Jata.

Zindagi Umeed Hai Aur Umeed Hi Zindagi Hai Tu Umeed Aur Yaqeeen Ke Sath Hum Is Mushkil Tareebn Dour Se Zaroor Guzar Jain Gay.Inshaallah Bas Humain Yaqeen Aur Umeed Ka Saht Nahi Choorna ..Isi Liyey Tu IQBAL Ny Kaha Hai Na Ke Pahwasta Rah Shajar Se Umeed-E-Bahar Rakh.

SamReen Bukhari
About the Author: SamReen Bukhari Read More Articles by SamReen Bukhari: 2 Articles with 11630 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.