Jeet Hi Humara Muqadar Hai

(Samreen Bukhari, Lahore)

 Zindagi Main Umeed, Imaan, Omang, Yaqeen,Azam, Housla Himat, Aur Musalsal Mahnet Aur Kabhi Bhi Mutazalil Na Honey Waley Iradey Se Barh Ker Koi Naimat Nahi Ho Sakti.  Aur In Ke Sab Ke Bal Per Wo Kon Si Cheez Hai Jo Hasil Nahi Ki Ja Sakti,Umeed Per Zindagi Qaiyem Hai, Omang Humain Jeenay Ke Liyey Halawat Bakhshti Hai,Azam Humarey Ander Kuch Ker Dikhany Ki Tawanaee Bherta Hai,Housla Humain Kabhi Harney Nahi Deta,Himat In Tamam Ahsasaat Ko Thamey Rakhti Hai,Musalsal Mahnet Din Ba Din Humain Humary Nishaan-E-Manzil Ke Qareeb Ley Jati Hai,Kabhi Na Tootney Wala Iarada Humain Agay Se Agay Barhney Ka Jazba Ataa Karta Hai,Aur In Sab Ka Nichoor Sirf Aik Cheez Main A Jaye Tu Imaan Kehlata Hai, Jo Halat Aur Waqiaat Se Kabhi Kamzor Nahi Parta.  Jo Hum Ko Yey Yaqeen Ataa Karta Hai Ke Koi Hai Jo Hum Ko Girney Se Pehley Thaam Ley Ga Koi Hai Jo Humain Nakami Main Bhi Kamiyabi Ka Koi Na Koi Charagh Thama Jaye Ga, Koi Hai Jo Hum Ko Khud Ataa Kerny Kebad Hum Se Wapis Nahi Ley Ga,Jo Humari Ghaltioon Bal K Gunahhoon Ko Bhi Mafi Magnay Per Maaf Ker Dey Ga Aur Apni Ataa Karda Naimatoon Ko Hum Per Hamesha Qaim Rakhay Ga. .

Hum Log Aj Pakistani Tareekh Ke Bed Tareen Waqt Se Guzar Rahey Hain, Hum Nazar Utha Ker Daikhtey Hain Tu Door Door Tak Manzil Nazar Nahi Ati Han Kabhi Kabhi Ankhoon Ko Koi Nishan Sa Nazar Aata Hai Per Qareeb Janey Per Wo Dasht Main Sairab Jaisa Dhoka Maloom Hota Hai Dhoka Sirf Nazar Ka Dhoka Us Ke Siwa Kuch Nahi, Abhi Ik Musibat Humary Saroon Se Talti Nahi Ke Dosri Aa Jati Hai Humain Apni Androoni Musibatoon Se Nijaat Nahi Milti Ke Baki Dunya Hisa Dalnay A Mojoud Hoti Hai, Jaisa Ke Ab,Jis Waqt Humara Khud Ka Watan Jal Raha Hai Us Per,Ik Tarf India Humain Ankhain Dikha Raha Hai Tu Dosri Tarf Us Us Ka Pora Pora Na Sirf Sath Dey Raha Hai Bal Ke Pakistan Per Hamla Karney Ka Saaf Aur Waziha Ishara Bhi Dey Raha Hai,India Ko Tu Hamesha Se Adat Rahi Hai Ke Kuch Bhi Ho Un Ke Mulk Main Naam Pakistan Ka Hi Aata Hai, Un Ki Hum Se Azli Dushmani Kisi Se Bhi Dhaki Chupi Tu Hai Nahi Un Ka Tu Bas Nahi Chalta Ke Pakistan Ko Aik Sath Hi Kaheen Gum Ker Dain,

Un Ke Bhoonkney Se Humari Sehat Per Asar Her Giz Nahi Parna Chahiye, Humain Poray Yaqeen Ke Sath Apny Piyare Watan Ke Difa Ki Tarf Dihaan Dena Chahiye, Aur Is Main Lagi Ander Ki Aag Bujhani Chahiye, Ab Baat Kertey Hain Dunya Ke Sab Se Barey Gundey Usa Ki, Jis Ka Apna Mazi Sharmindagi Ki Had Tak Tareek Hai Yey Qoom Awal Se Hi Choor Daku Dhokay Baz Sharabi Chal Baz Apney Mafaad Ki Khatir Kisi Ko Bhi Qurban Kar Deney Wali Rahi Hai,Is Ka Mazi Bhara Para Hai Beshumar Sharm Nak Waqiyaat Se,Is Ne Hamesha Se Hi Logon Ke Haqooq Cheen Cheen Ker Apni Pahchan Banaee Hai, Logon Ko Ghulam Banana Is Qoom Ka Sab Se Pasand Deeda Aur Sab Se Purana Mashgala Raha Hai,Yey Choor Daku Loutairoon Ki Ulad Khud Ko Dunya Ka Sab Se Bara Munsif Samjhti Aur Kehti Hai Per Der Haqeqat Khud Hi Sab Se Bara Gunda Sab Se Bara Dehshat Gard Hai,

Usa Ko Kisi Muslim Se Koi Khatra Nahi Bal Ke Dunya Ke Aman Aur Sakoon Ko Lahak Sab Se Khatarnak Aur Muhlik Bemari Khud Yey Usa Hi Hai, Usa Ke Aur Is Ki Bohat Sey Himayati Think Tanks Ka Khayal Hai Ke Aney Waley Saloon Main Dunya Ke Naqshey Per Pakistan Ka Wajood Tak Baki Nahi Ho Ga,Yey Tajziye Na Janay Kitni Dafa Kitney Hi Akhbaraat Ki Zenat Baney Hain Humarey Koi Likhney Wala Aisa Nahi Jis Ne Is Ka Ziker Na Kia Ho,Jo Kuch Yey Sab Farmaty Rehtey Hain,

Main Usa Se Yey Kahna Chahti Hon Ke, Ab Humari Fiker Choro Apni Fiker Karo Hum Tu Thay Hi Bohat Pasmanda Log Humary Paas Na Tu 50 Riasatain Hain, Na Hi Humara Mulk Raqbey Ke Lihaz Se Dunya Ka Teesra(3rd) Bara Mulk Hai Na Hi Hum Abadi Ke Lihaz Se Dunya Main Chothey(4th) No Per Aatay Hain Na Hi Humarey Pas Tumhary Jitnay Bombs Aur Baki Aitmi Hathyar Hain,Na Hi Humari Fouj Tumhari Tarhan Darindagi Ki Hadoon Ko Chuti Hui Hai Na Hi Tadad Main Tumhary Jitni Hai Na Hi Dunya Humary Agay Pichay Dum Hilati Phirti Hai,Us Ke Ba Wajood Tum Yey Jawab Do Ke Kion Tum Log Itny Zaheen Fateen Honay Ke Ba Wajood Khud Apni Tareekh Ke Bad Tareen Mali Bhoraan Ka Shikar Ho Gaye Kion Tumhary Log Din Ba Din Ghareeb Hoty Ja Rahy Hain Kion Tumhary Aalmi Satah Ke Idarey Apnay Diwaliya Honay Ka Ilaan Kerty Phir Rahey Hain. Khud Main Her Rouz News Papers Main Beshomar Coloumns Main Tumhary Barey Main Hotey Naye Se Naye Tajzioon Ko Parh Ke Sochti Hon K Khud Tumhara Kia Ho Ga,Lakhoon Log Berozgar Ho Gaye Tumhary Tarqiyafta Mulk Main Mazeed Sawa Karoore Log Ghurbat Ke Dairay Main Dakhil Ho Gye Hain Or Yey Tadad Din Ba Din Barhti Ja Rahi Hai,Aur Yey Ginti Kahan Ja Ker Rukey Gi Khud Tum Bhi Nahi Jantey Tumhari Awaam Zehni Mareez Ban Rahi Hai,

Dunya Se Humara Naksha Mitanay Waloon Yey Tu Aney Wala Waqt Hi Bataye Ga Ke Khud Usa, Jo Bazahir Is Waqt Dunya Ki Azmeem Tareen Aur Wahid Taqat Hai Wo Khud 2025 Main Apni 50 Riasatain Bhi Bacha Sakay Ga Ya Nahi Ik Rusi(Russian) Tajziya Nigaar Ke Mutabiq Khud Usa Aanay Waly Kuch Saloon Main 6 Hisoon Main Taqseem Ho Chuka Ho Ga,, Dosron Ke Gharoon Ko Aag Laga Ker Apney Liyey Roshni Paida Karny Wali Qoom Ko Mera Yey Hi Paigham Hai Ke Ab Apni Fiker Karo Humari Choro,

Humara Mulk Aur Humary Log Aadi Rahain Hain Zulm Seh Seh Ker Us Zulm Ki Zanjirain Toorney Ke. Humary Ander Housla Bhi Hai Azam Bhi Aur ALLAH Ki Zaat Per Kamil Yaqeen Hum Tumhari (Usa) Tarhan Ghasib Log Nahi,, Yey Sar Zameen Humari Hai Is Ko Humary Abao Ajdad Ne Khoon Dey Dey Ker Seencha Hai Aur Aj Bhi Waqt Perny Per Ik Aam Pakistani Ik Borha Ik Bacha Ik Ik Jawan Her Maa Her Behan Apna Ghar Apni Zindagi Aur Khoon Ke Aikhri Katrey Tak Is Ki Hifazat Kerney Ka Housla Rakhtey Hain, Yey Wo Mulk Hai Jis Ko Khud Khuda Ne Apny Sab Se Piyary Mahiney Main Hum Ko Ataa Kia Jis Ke Liyey Na Janey Kitny Momin Mard Or Kitni Hi Momin Auratoon Ne Qurbani Di Hai, Jis Ke Barey Main Khud ALLAH Ke Rasool Sawaw Ne Basharat Di .  Humain Koi Dar Nahi Humain Koi Fiker Nahi Jo Halat Aj Hain Kal Aisey Nahi Hon Gay Kion Ke,

Waqt Sada Aik Sa Nahi Rehta. Raat Hamesha Ke Liyey Nahi Hoti Batil Hamesha Mazlomoon Ke Sir Per Mout Ka Nanga Nach Nahi Ker Sakta , Hum Ko Dar Nahi Koi Khoof Nahi Hona Chahiye,Kion Ke Khuda Ki Ilhami Kitaab Quran-E-Majeed Main 1400 Saal Pehley Waziha Aur Saaf Ilfaz Main Irshad Farma Diya Gaya Hai Ke Yey Qoom(Musalman)Hi Dunya Ke Asal Hukmaran Hain,Yey Hi Dunya Ke Hakim Hain,Humain Hi Dunya Ki Hakumat Ke Liyey Utara Gaya Hai Qanoon-E- Firet Hai Ke Her Cheez Apny Asal Ki Tarf Zaroor Palat'ti Hai,Dair Se Hi Sahi Per Palat Zaroor Aati Hai, Tu Jo Shan Jo Hukmarani Humari Na Ehli Aur Kamzor Imaan Ki Waja Se Hum Se Chin Gae Wo Din Door Nahi Ke Phir Se Hamesha Ke Liyey Humary Paas Aa Jay Gi InshaALLAH,

Mujhy Apny Logon Se Faqt Aik Aikhri Baat Yey Kehni Hai Ke Yaqeen Rakhain Ke Pakistan Dunya Ke Naqshy Se Mitney Ke Liyey Nahi Bana Yey Qaim Hai Aur Hamesha Shad-O-Abbad Hi Rahey Ga, Bas Humain Apny Ander Ke Sachy Pakistani Aur Aik ALLAH Ki Ebadat Kerney Walay Asal Momin Ko Zinda Kerney Ke Dair Hai, Jo Sir Faqt Aik ALLAH Ke Agay Jhuktey Hon Un Ko Koi Apny Agay Nahi Jhuka Sakta Is Liyey Yaqeen Rakhain Ke Hum Jeet Jain Gay Aur Yey Musibatoon Aur Mushkilaat Bhara Waqt Yey Zalim Haar Jain Gay,InshaALLAH . Kion Ke Jeet Hi Humara Muqadar Hai.

Samreen Bukhari
About the Author: Samreen Bukhari Read More Articles by Samreen Bukhari: 2 Articles with 11631 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.