Is Waqt Pakistan Main Rehney
Waley Hi Nahi Balkeh Dunya Main Kaheen Per Bhi Basney Waley Pakistani Ke Sir Per
Sirf Aik Hi Talwar Latak Rahi Hai Ke Akhir Aaney Walay Waqt Main Kia Honay Ja
Raha Hai? Kia Pakistan Aur India Main Jang Chhir Jaye Gi? Aur Agar Jang Hoti Hai
Tu Phir Is Jang Ka Nateeja Kia Nikle Ga? Pakistan Ka Mustaqbil Kia Ho Ga Us Jang
Ke Bad? Is Tarhan Ke Be Shumar Sawalaat Her Waqt Dimaghoon Main Panap Rahey Hain,
Log Apni Zindagi Apni Be Panah Mushkilaat Main Ghirey Honay Ke Bawajood Her Waqt
Is Behas Main Uljhey Huye Hain Ke Akhir Ho Ga Kia??
Youn Kehney Ke Liye Tu Humarey Hukmaraan Yeh Farma Rahey Hain Ke Agar Bharat Ne
Hum Per Jang Musalat Ki Tu Hum Bhi Us Ko Munh Toor Jawab Dain Gey Aur India Ki
Eeent Se Eeent Baja Dain Gey, Pakistan Ka Kehna Hai Ke Agar India Jang Shuro
Karta Hai Tu Hum Ne Bhi Chooriyan Nahi Pehan Rakhin, Aur Hum Us Ka Dat Ker
Muqabla Karain Gey, Per Un Hukmaranoon Per Yeh Qoom Kion Ker Bharosa Ker Sakti
Hay Jo Khud Is Mulk-O-Qoom Ke Dushman Baney Huye Hain,Humarey Sadar Zardari
Sahab Ko Dunya Ke Doroon Se Fursat Nahi Mil Rahi Mulk Kin Mushkilaat Kin Sangeen
Tareen Halaat Se Guzar Raha Hai Awaam Ghurbat Ki Chakki Main Din Raat Pisi Ja
Rahi Hai Aur Wo Isi Mulk-O-Qoom Bechari Ghareeb Awaam Ki Haq Halaal Ki Qamaee
Aur Un Ke Khooon Se Chusay Huye Paisoon Per Mulkoon Ghoom Ker Na Janey Apni Kon
Si Dareena Khuwahishaat Ki Takmeel Kar Rahey Hain, Hona Tu Yeh Chahiye Tha Ke
Pakistan Jin Halaat Se Guzar Raha Hai Ghurbat Jitni Barhti Ja Rahi Hai Tu Yeh Hi
Paisey Jo Ke Karooroon Ki Tadad Main Hain Bairooni Mumalik Ke Doroun Per Laganey
Ke Bajaye Is Becharey Pakistan Per Lagain, Per Un Ko Tu Shayad Iqtidar Main
Aanay Ke Bad Bhi Yaqeen Nahi Hua Ke Wo Pakistan Ke Sadar Ban Chukey Hain Aur Ab
Un Per Bohat Bhari Zemedariaaan Ann Parin Hain, Wo Shayad Dunya Ke Her Mulk Main
Sadr-E-Pakistan Ki Heysiat Se Jana Chahtey Hain,Aur Ezat Pana Chahtay Hain, Agar
Wo Zara Si Aqal Mandi Se Kaam Lain Aur Fil Haal Apney Zati Jabzaat Ko Pas-E-Pusht
Daal Ker Is Waqt Sirf Pakistan Ke Barey Main Sochain Tu Yaqenan Un Ka Naam
Tareekh Main Sunehray Haroof Main Likha Ja Sakta Hai,
Un Ko Hindustaan Ke Liyey Apney Bayaan Main Boley Janey Waley Ilfazooon Per
Ghoor Kerna Chahiye Hindu Wo Qoom Hai Jo Kabhi Bhi Pakistan Ke Wajood Ko Dil Se
Tasleem Nahi Kar Saki Na Hi Aaney Walay Waqt Main Is Ka Kuch Imkaan Hai,Sadar
Sahab Ko Is Waqt Sirf Aur Sirf Pakistan Ka Mafaad Aur Pakistanioon Ke Jazbaat Ki
Fiker Kerni Bhi Chahiye Aur Khayal Rakhna Chahiye Ke Pakistan Ke Waqaar Ko Aur
Dhajka Na Lagey,Waisey Koi Kasar Baki Tu Hai Bhi Nahi Per Un Ko Apney Faraiz Se
Ankhain Nahi Churani Chahiyen,India Jo Humain Subha Sham Dhamkiyoon Se Nawaz
Raha Hai Tu Humain Bhi Un Tamam Qisioon Ko Dunya Ke Samney Be Naqab Karna
Chahiye Jin Main India Poori Tarhan Se Mulawis Hai,India Se Saboot Mangney
Chahiyen Wo Bhi Aalmi Sataa Per Ta Ke Dhoodh Ka Dhoodh Aur Pani Ka Pani Ho Sakay,
India Se Her Giz Kisi Bhi Achay Rawaiye Ki Tawaqo Nahi Rakhni Chahiye Hindu
Kabhi Bhi Apni Passt Zehniyat Se Bahir Nahi Aa Saktey Wo 1947 Main Jahan They Aj
Bhi Usi Muqaam Per Hain,Aur Pori Dunya Main Jis Tarhan Wo Pakistan Ko
Zaleel-O-Ruswa Ker Rahey Hain Us Hisaab Se Pakistan Ke Paas Bhi Porey Porey
Shawahid Mujood Hain, Jin Se Sabit Hota Hai Ke Islamabad Marriott
Hotel(........) Se Ley Ker Karachi Peshawar Aur Balochistaan Ke Din Ba Din
Bigartey Halaat Main India Pori Tarhan Se Shamil Hai, Ab Bhi Waqt Hai Humari
Qiyadat Ko Chahiye Ke Hosh Ke Nakhoon Lain,Apney Mazi Se Sabaq Sekhain,Mazi Se
Sabaq Seekhney Se Hum Mustaqbil Main Bohat Si Sangeen Ghaltiyaan Karney Se Bach
Saktey Hain,Hinduoon Se Kitni Hi Narmi Se Baat Ker Lain, Kutey Ki Dum 40 Saal
Nali Main Rahney Ke Bawajood Bhi Terhi Hi Rehti Hai, Is Liye Un Se Koi Bhi Achi
Baat Ki Tawaqo Fazool Hai, Yahan Per Main Muola Ali As Ka Ik Farman Raqam Karna
Chahti Hon, Azmaye Huye Ko Azmana Hamaqat Hai,
Is Liyey Khudara Jitni Hamaqatain Pakistan Ki Hakumat Ker Chuki Hai Ab Us Per Hi
Ruk Jain Mazeed Ki Yeh Qoom Yeh Mulk Mutahamil Nahi,Kion Ke Is Waqt,
Tamaam Dunya Ki Nazrain Hum Per Jami Hui Hain, Dunya Ke Zehnoon Main Sawal Hai
Ke Pakistan Jin Halat Se Guzar Raha Hai Kia Un Main Pakistan Aur Pakistani Kisi
Bhi Tarhan Ki Mazeed Jangi Sorat-E-Haal Ke Liye Tayaar Hain Agar Pakistan Main
Jang Hoti Hai (Khuda Na Karay)Tu Kia Pakistani Us Liye Tayaar Hain?? Tu Is Ka
Aik Hi Jawab Hai Ke Yeh Qoom Jis Ko Dunya Bezameer Aur Be His Samjhti Hai,Wo
Waqt Yaad Ker Ley Jab Is Hi Mulk Main Aaney Waley Zalzaley Ne Pori Qoom Ko
Mutahid Ker Diya Tha Khud Per Araam Ko Haram Ker Liya Gaya Tha Aur Din Raat
Sardi Garmi Ki Tameez Kiye Baghair Her Koi Ik Doosry Ki Madad Ke Liye Ik Doosrey
Se Aagay Barh Raha Tha, Us Waqt Yeh Qoom Na Punjabi Thi Na Sindhi Na Balochi Na
Sarhadi Yeh Qoom Sirf Pakistan Thi Yeh Sab Sirf Pakistani They, Wo Tu Zalzala
Tha Jo Khuda Ki Tarf Se Aanay Wali Afat-E-Nagahani Tha, Jab Is Qoom Ne Us Ke
Aagay Ghutney Nahi Taikay They Tu Phir Hindustaan Aur Hindustanioon Ki Kia Oqaat
Hai Ke Is Ke Samney Thehr Sakey,Kion Ke Hum Tadaad Per Nahi Imaan Per Yaqeen
Rakhtey Hain, Humara Mazi Bhara Hua Hai In Beshumaar Misaloon Se Jab Hum Ney
Tadad Main Bohat Kam Honey Ke Bawajood Behtareen Jangain Lari Hi Nahi Jeeti Bhi
Hain Aur Phir Jis Qooom Jo Ke Sirf Musalman Hai, Jis Qooom Ke Seeney Per Karbala
Ke Waqiye Jaisa Soraj Chamak Raha Ho,Jo Aj 1400 Saal Guzar Janay Ke Bad Bhi Apni
Aab-O-Taab Pori Dunya Per Phaila Raha Ho, Jis Qoom Ke Liye Aik Sajda Adda Honay
Ke Bad Haq-O-Batil Main Hamesha Ke Liye Tafreeq Ker Di Gaee Ho Us Qooom Ko Koi
Dar Nahi,Ye Qooom Aj Bhi Bhooli Nahi Hai 72 Logon Ki Jang 9 Lakh Ke Lashkar Se,
Aur Jeet Kis Ki Hui Balkeh Aj Tak Jeet Hi Hoti Ja Rahi Hai Dunya Per Bhi Roshnan
Hai,Musalman Sirf Musalman Hain,Phir Kashmiri Hon Falistini Houn Ya Pakistani
Koi Tafreeq Nahi Yeh Qoom Jhukney Ke Liye Nahi Bani, Is Liye Sirf Itna Hi Kehna
Baki Hai Ke Imaan Aur Azadi Ki Taqat Se Barh Ker Koi Taqat Nahi Hoti, Yeh Qooom
Janti Hai Aur Yaad Rakhey Huye Hai Ke 72 Logon Ke Paas Jab Jabza-E-Imaan Ho Tu
Wo Kaisay Jang Jeet'tey Hain,
16 Karoore Kaisay 100 Karoore Ke Daant Khatay Karain Gey Yeh Aaney Wala Waqt
Bata Dey Ga, Humarey Dushman Sirf Ik Baat Yaad Rakhain Ke Pakistan Ki Tarf Un Ka
Pehla Qadam Un Ki Zindagi Ka Akhri Qadam Sabit Karna Is Qoom Ke Liye Har Giz Na
Mumkin Nahi, India Ko Hum Se Hui Jangoon Ko Apnay Mad-E-Nazar Zaroor Rakhna
Chahiye Humaray Ander Jazba Kal Bhi Tha Aj Bhi Hai, Dunya Yaad Rakhey Ke Hum
Soye Huyey Tu Ho Saktay Hain Magar Marey Huye Nahi,Yeh Ghar Humara Hai Aur Is Ko
Bachana Hum Khoob Jante Hain,Per Kashh Ke Hum Waqt Parnay Se Pehlay Hi Jaag
Jain, Aur Is Mulk Ko Andheroonn Se Bahir Nikalain Is Mulk Ki Galiaan Jo Khoon
Ubal Rahi Hai Wahan Sakoon Aur Muhabbat Ke Diye Roshan Ho Jain..Aur Hinduoon Ki
Humain Koi Fiker Nahi Kion Ke Kafir Ko Marney Ke Liye Goli Bandooq Tu Kia
Nara-E-Taqbeer Hi Kafi Hai,