Muttahida Qoumi Moumint Nay 
Karachi K Bagh E Jinah Ground Main ..Ba Ikhtiar Aourat Mazboot Pakistan,, K 
Unwan Say Khawateen Ka Jalsa Kar K Bazahir Apni Qowat Ka Muzahira Kia Hain Aor 
Sath Main Ye Pegham Denay Ki Bhi Koshish Ki Hain K Karachi Main Mqm Ko Ab Bhi 
Laeding Position Hasil Hain- Wesay To Difa E Pakistan Councel K Zer E Ihtimam 
Karachi Main Kamyab Difa E Pakistan Confrince Karnay K Baad Mqm K Laey Ye Zarori 
Hogiya Tha K Woh Beroni Qowaton Ko Aor Apnay Logon Ko Mutmain Karnay K Leay 
Bharpor Qowwat Ka Muzahira Karti Jo K Unhon Nay Kia Bhi.Lekin Meray Khiyal Main 
Mqm Nay Es Jalsay K Laey Ghalat Waqt Aor Ghalat Jaghay Ka Intikhab Kia. Woh 
Keasay To Qarien Muhtarm Os K Laey Aagay Mazmon Mulahiza Farmain- Qarien Ko Yaad 
Hoga K Defa E Pakistan Councel K Qaideen Karachi Jalsay Main Awam Ko Ye Bawar 
Karanay Main Kamyab Arhay Tay K Ahmaray Masail Ka Jardeen Say Dori Americi 
Mudakhilat Aor Mulk Main Islami Aizam Ka Na Hona Hain. Aor Un K Es Baton Say 
Awam Nay Ittifaq Bhi Kia. Defa E Pakistan Jalsay Main Councel K Aik Leader 
Moulana Ameer Hamza Nay Ye Bhi Kaha Tha K Apni Pasand Ki Shadi Ki Waja Say Qaid 
E Azam Muhammad Ali Jinah Nay Apni Ekloti Beti Say Nata Tor Lia ,Goya Qaid Ko Ye 
Manzoor Na Tha K Aik Musalman Rahnuma Ki Beti Apni Man Mani Kar K Pasand Ki 
Shadi Karay ....Lekin Mqm Nay Apnay Jalsay Main Os K Bilkul Baraks Rawayya 
Apnaya Mqm Nay Aik To Karachi Bhar K Aouraton Ko Bagher Kisi Mahrim Mard K 
Gharon Say Nikala,Poray Jalsay Ko Music Show Main Tabdel Kia K Jis Main Un K 
Markazi Rahnuma Tak Nachtay Rahay Aor Sab Say Aham Baat Ye K Altaf Hussain Nay 
Aoraton Ko Azadai Denay Ki Baat Ki Hain- Mqm Nay Es Jalsy Say Kia Khoya Aor Kia 
Paya Ye To Anay Wala Waqt Hi Batadega. Lekin Meray Khial Main Mqm Ka Ye Jalsa Un 
Ko Mulki Siasat Main Dakhil Honay Nahi Dega Keon K Pakistani Awam Jesay Bhi Hain 
Lekin Wo Ye Baat Kabhi Bhi Qabool Nahi Karsaktay Azadi K Naam Apr Un Ki Betian 
Ezzatain Lotati Rahay Ya Muhabbat Ki Shadi K Chakkar Main Boy Friends Ko Palti 
Rahay.Lihaza Ab Mqm Ko Ye Sochna Chaheay K Aya Un Ko Muhajir Siasat Karni Hain 
Ya Phair Qoumi Siasat? Agar Mqm Nay Qoumi Siasat Karni Hain To Phir Un Ko Apni 
Rawwaein Main Tabdeli Lana Hogi Basorat E Degar Qoumi Siasat Main Shamil Honay 
Ka Un Ka Khwab Kabhi Bhi Sharminda E Tabeer Na Hosakay Ga-