(Mian Shams-ul-Mulk, Islamabad)
Pakistan, Aik Mulk Aik Haqiqat. Aap Nay Aksar Logo Say Suna Hoga K Es Mulk Ka Koi Mustaqbil Nahi. Yaha Rishwath Sefarish Ka Baghair Kuch Nahi Hota. Bhok, Bayrozgari Nay Jena Haram Kar K Raka Hai. Courption Apni Entiha Par Hai. Bohot Saray Logh Yea Bi Kehtay Hain K Jis Mulk Ka Apna Mustaqil Na Ho Waha Humara Kia Mustaqil Hoga. Jetany Moo Otni Batain. Tho Kia Karay? Kia Humay Apni Omeed Pakistan Say Wabasta Rakna Chahiye Ya Nahi? Kia Pakistan Waqi May Mulk Ban K Obray Gha? Magar Kaisay? Bohot Saray Swal Insan K Zehan May Gardish Kartay Hain. Magar Mujay Apnay Sawalo K Jawab Mil Gaey. Mujay Pata Chal Gaya K Pakistan Hi Dunya Ka Mustaqbil Hai. Koi Manay Ya Na Manay Es Mulk May Bohot Dam Hai Or Yahi Dam Es Ko Dunya Aik Naya Maqam Day Gha. Yea Mulk Quaid Ka Mulk Banay Gha. Allama Iqbal Ka Mulk Banay Gha. Awam Ka, Muslman Ka, Aam Insan Ka Mulk Banay Gha. Es Ka Wajood Mojiza Hai Tho Es Ka Oroojh Bi Mojiza Hoga INSHALLAH. Koi Batay K Etnay Bay Iman Hukamran K Hotay Howay Bi Hum Atomic Power Kis Taray Banay? K Ab Dusmano Ko Sukoon Hi Nahi Milta Or Aaey Din Pakistan Ko Tornay Ka Khowab Daiktay Hain. Magar Nahi Aisa Momkin Nahi. Agar Dunya May Aik Inch Bi Zameen Baqi Rahi Tho Os Par Bi Pakistan Ka Janda Lehrai Gha, Yea Mera Eman Hai. Pakistan Zindabad