Taliban

(Ali raza, Karachi)

Baad Az Salam,

Arz Yeh Hai K Aj Kul Taliban Ka Har Taraf Dor Dora Hao Har Khaas O Aam Ki Zaban Per Taliban Ka Lafz Hai Or Unki Mazbooti Se Govt. To Kia Baray Baray Danishvar Hazrat Pareshan Hai Magar Sochne Ka Amr Ye Hai K Aya Vo Konsa Raaz Hai K Taliban Ki Jaray(Roots) Itni Mazboot Or Vaha Ki Awam Mai K Say Pany Or Mazboot Ter Hoty Gae Hamary Govt. Action To Lai Rahi Hai Magar Vo Us Action K Saath Apni Saakh Khoty Ja Rahi Hai Or Iska Koi Sad-E-Baab Nhn Nikal Pa Raha Ye Larae(Fight) Aik Andhery Surang Ki Manind Barhty Or Gehry Ter Hoty Ja Rahi Hai Magar Koi Is Taraf Apni Nigah Markooz Karne Ko Tayyar Nhn K Akhir Vo Konsa Amal-E-Khas Hai Vo Konsa Chilla Hai K Jo Kaat Ker Taliban Itne Mazboot Hote Ja Rahe Hai. Mere Naqis Aqal To Is Natijay Per Puhnchy Hai Uski Asal Vaja Sasta Or Jald Insaf Hai Jo Vaha Ki Awam Ko Un K Gher Per Hi Mil Raha Hai Jo Case Hamary Court 20 Saal Mai Hul(Solve) Nhn Ker Sakty Vo Talban 20 Din Ya Is Se Bhi Buhat Kum Arsay Mai Ker Dete Hai Hamary Har-Dil-Aziz Govt. Ko Chahiye Ko Vo Awam Ko Insaf Un K Gher Tuk Puhnchae Varna Aaj To Sawat Ki Vajah Se Pareshan Hai Kahi Aisa Na Ho K Ho Baray Shehron Ki Vaja Se Bi Pareshan Hone Lagai.
 

Ali raza
About the Author: Ali raza Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.