Well Done Chaudry Nisar Ali Khan

(Atique Laghari, Hyderabad)

Jaisa ke Maine apne pichle Article ( Dharna Hukumat ke khilaf ya Democracy Ke Khilaf) mein likha tha ke Maujooda Buhran ka nateeja kuch bhi ho, nuqsan is qaum aur jhumooriyat ka hoga, aur aj ye baat sabit ho gayee, Supreme Court ne Miyan sahiban ko disqualify kar diya hay, jis ke nateeje mein Punjab ke Shehroon khusoosan Central Punjab mein Hangamey phoot parey hain, Aur Governor House ke Samne Bare bare PPP ke hordings jala diye gayey hain jin mein Asif Ali Zardari, Yousuf Raza Gilani, Salman Taseer ke Saath saath Zuilfiqar Ali Bhutto Aur Shaheed BB ki Tasweeron ko bhi nazar-e-Aatish kiya gaya, ye ek action ke nateejey mein re-action hay lekin, BB aur Z.A Bhutto ki tasweeron ko nazar-e-Atish karna aur wahan pe PML-N ke MPA's aur MNA's Ka maujood hona sabit kar raha hay ke ye Awami rad-e-Amal kam aur Party ka faisla ziyada lag raha hay. Aise daur se PPP bhi guzar chuki hay lekin BB ki Shehadet ke time kissi bhi hangame mein koi PPP MNA ya MPA kaheen bhi nazar nahi aa raha tha. Jis Samajhdari ka suboot Asif Ali Zardari ne diya tha Waisa hi suboot Miyan Saheb ko bhi dena hoga, warna Lahore ke action ka re-action Nawabsha aur Larkana mein ho sakta hay.

Ta dam Tehreer Punjab hukumat ki command Governor Punjab ne sanbhal li hay aur PPP ki leadership future ke liyey planning kar rahi hay aur PML-N apna Laheamal Tai kar rahi hay. Ye to waqt hi bataey ga ke ab kiya hoga, Kiya miyan saheban ke baad Zardari ko bhi jana parta hay ya Ek bar pir Islamabad mein boot ki taal sunai degi ye kehna qabal az waqt hay lekin ye sab kuch jo huwa hay ye kiyoon huwa hay is ka jawab itna asaan nahi jitna media mein show kiya jar aha hay.

Mera ye man;na hay ke Miyan Nawaz Shareef Ek Aise leader hain jin ko bila shuba is time Pakistan ki awam ki himayat hasil hay lekin wo ajlat mein jazbati faisley kartey hain jin ka khamiyaza un ko bhugatna pare ga. Nawaz Shareef ke saath kiya huwa aur Shehbaz shareef ne ye halaat bhi jaldbazi ki waja se khud paida kiye hain is par behes baad mein kartey hain lekin Is sarey mamley ki waja jo hamari media ne kabhi qaum ke samney nahi layee, wo hay Is sarey mamley mein Chaudry Nisar Ali Khan ka Kirdar aj PML-N agar halaat pe control kar jaati hay aur PPP ko mushkil mein daal sakti hay to is ka poora credit main Chaudry nisar Ali Khan ko doon ga, aur agar aisa Nahi hota aur PPP apney cards sahi simat khelti hay to, PML-N wapas 99 to 2006 wali position pe chali jaey gi to is ka zimedar bhi Chaudry Nisar hi hoga.

Chaudry Nisar Ali Khan Rawalpindi se taluk rakhtey hain aur purane Muslim Leagui hain, wo Establishment se behter Taluk ustawar rakhtey hain isi liye 1990's ki politics mein bhi Ministries ke Mazey bhi loot;tey rahey aur kabhi jail bhi nahi gaye, well un ka Q-league ko saath na dena aur Nawaz Shareef se wafadari qaim rakhna qabil-e-tareef hay, aise waqt mein jab nawaz shareef ko sab saathiyoon ne chor diya tha us time unhoon ne Nawaz Shareef ka saath diya.

Majooda set mein kuch batein aisi huween jo main zaroor likhna chahoon ga, sab se pehley Senior Wazeer ke liyey Makhdoom Javed Hashmi jaise Leader ke hotey huwe Chaudry nisar ko aagey lana. Doosra. Opposition leader bhi Chaudry Nisar ko nominate karna, PPP se Alag hona bhi Chudry Nisar, Ahson Iqbal aur Khuwaja Asif ka karnama hay warna Nawaz League ke baqi saathi Govt ko chorney ke liyey raazi na they, aur Akhir mein Tamam Kashtiyan jala kar PPP se taluk khatam karna aur Dharney ki himayat karna ye sab Chaudry Nisar sb ki strong position ki waja se Nawaz Shareef ki Faisley karwaye gaye. Ab ye sarey Faisley Chaudry Nisar ko Aagey laney mein ehem kirdar ada Karen gey kiyoon ke Nawaz Shareef Aur Shehbaz Shareef ke Na-ehel honey ke Baad Nawaz League ka Prime Minister ka agla Candidate bila shuba Chaudry Nisar hi hoga. Ye to Aaney wala waqt hi bata sakey ga ke Chaudry Nisar is Mulk ke PM bantey hain ya nahi lekin filhaal unhoon ne ek teer se 3 shikar kar liyey hain, Nawaz Shareef, Shehbaz Shareef aur PPP.

Ab Baat Kartey hain Shehbaz Shareef ka jaldbazi ka faisla, Shehbaz ke saath jo huwa hay wo Qanoon ke mutabiq sahi huwa hay, kiyoon ke Wo jab ek Nishast se bila muqabla muntakhib huwey to un ko doosri seat se withdraw karna chahiyey tha lekin nahi bhi kiya to ek do maheena intizar kar lete Khosa Saheb to by name CM they sarey Hukam to Miyan sahib ke chal rahey the lekin Kursi ki jaldi ki waja se wo aj kursi se door ho gayey. Ab Rahi baat Nawaz Shareef ki to un ke saath ziyadti huwee hay lekin agar awamil talash kiyey jaen to Nawaz Shareef ne bhi ghaltiyan ki, agar wo PPP ki taraf se diye huwey Ammenment ka masooda par itefaq kar letey aur Judges ki restoration Aeen mein tarmeem ke waseeley hoti to aj miyan sahib ko ye din dekhna na parta. Ab ye faisla ham waqt pe chortey hain ke kal kiya hoga?

Atique Laghari
About the Author: Atique Laghari Read More Articles by Atique Laghari: 16 Articles with 47850 views Me From Hyderabad, 36 Married working in PTCL.. View More