Agar Ye Huwa To Wo Ho Jaey Ga
Agar Aisa Huwa To Waisa Ho Jaey Ga, Agar, Ye, Wo, Aisa, Waisa, Ye Sab Alfaz Aj
Kal Hamari Media Ki Zeenat Bane Huwey Hain, In Agar Magar Mein Ek Sawal Bar Bar
Mere Zehen Mein Aa Raha Hay Ke Sach Mein Agar Mid Term Election Huwa To Kiya
Hoga? Aj Ka Topic Hay Mid Term Election Huwa To? Lekin Us Se Pehle Ye Sochna Ho
Ga Ke Ye Kaise Ho Sakta Hay. Aj Sirf Ye Usi Soorat Ho Sakta Hay Ke President
Assembly Desolve Kar Den Aur Wo Mumkin Nahi Hay. Doosri Soorat Ye Banti Hay Ke
CJ Iftikhar Chaudry Restore Ho Jaey Aur Wo NRO Ke Tehet Disqualify Karwa Diya
Jaey, Ye Bat Thori Der Ke Liye Maan Li Jaey To Bhi Mid Term Election Ka Raasta
Nahi Banta, Kiyoon Ki Tab Tak PPP Senate Chairman Ka Intikhab Jeet Chuki Hogi
Aur Senate Ka Chairman Koi Jiyala, (Jahangir Badar Ya Haji Lashkri Raeesani)
Acting President Wo Ban Jaey Ga Aur New President Ke Liye Ek Baar Pir 3
Provisional Assemblies, Senate Aur National Assembly Mein PPP Aur Us Ki Himayati
Partiyan Sada Aksariyat Se Presidential Elections Jeet Jaen Gi. Ab Raha Tessra
Option Ke Army Take Over Karey Aur Parliyament Samait Sab Ko Ghar Bhej De Aisa
Aj Ke Hallat Mein Mumkin Nahi. Aur Aakhri Option Hay Asif Zardari Se Zabardasti
Resigne Liya Jaey Wo Agar Asif Zardari Ki Jaan Ki Keemat Hoga To Bhi Mumkin Nahi.
Ab Baat Ye Hay Ke Ye Sab Batien Jab Mere Jaise Ek Common Admi Ko Patta Hay To
Nawaz Shareef Saheb Ko Kiyoon Nahi. Ab Sari Soorathall Ke Baad Bhi Agar Mid Term
Election Kissi Soorat Karwa Diya Jata Hay To Result Kiya Hoga Zara Us Ka Jaiza
Lete Hain. Aur 1997 Ke Nawaz Shareef Ke Mandate Aur Hallat Ko Aaj Ke Hallat Se
Compare Karte Hain To Soorat-E-Hall Kiya Aye Gi.
1997 Mein NWFP Mein Sirf 3 Parties Thi Aur ANP Nawaz League Ke Sath Alliance
Mein Thi, Lekin Aj PPPP, Sherpauo Group, JUI, ANP, Q- League, N-League Total 7
Parties Hain Aur In Sab Mein Koi Party Bhi Nawaz League Ki Allience Mein Nahi
Hay. Andazey Ke Mutabiq Nawaz League Sirf Hazara Belt Ki Chand Nishasten Jeet
Sakti Hay.
Balochistan Mein Nawaz League Ne Koi 3 Seats Jeeti Thi 1997 Mein Lekin Ab Koi
Seat Jeetne Ki Koi Umeed Nahi Hay, Balochistan Mein Jo Pockets Hain Wo Is Waqt
PPP Aur Q-League Ke Pass Hain Jo Apni Seats Nikal Lenge Aur JUI Aur Balochistan
Ki Left Ki Jamaiten Apni Seats Nikal Len Ge.
Sind Se Nawaz League Ne 46 Mein Se 11 Seats Jeeteen Thi Aur MQM Ne Us Ka
Bharpoor Saath Diya Tha. Sukkur, Sanghar, Nawabshah, Tando Allahyar Ke Areas
Mein MQM Ne Apna Vote Bank Nawaz League Ko Diya Tha Aur Us Time Ghulam Mustafa
Jatoi, Muhammad Khan Junejo, Peer Saheb Pagara Aur MQM Ne PPP Ke Against Ek
Alliance Banaya Tha, Lekin Aj Soorat-E-Hall Mukhtalif Hay, Ye Tamam Parties PPP
Ke Sath Allies Hain Aur Chand Seats (Pockets) Jo Q-League Mein Hain Wo Bhi Dar
Parda PPP Se Ilhaq Ka Qatai Faisla Kar Chuki Hain, Aur Jo Log Abhi Ppp Se Door
Hain Wahan Pe PPP Ne Special Projects Aur Hikmat-E-Amli Apnayee Hai, Aur Ye
Yaqeen Se Kaha Ja Sakta Hay Ke Is Waqt Nawaz League Ke Pass Sirf 02 Bare
Politician Sindh Mein Hain 1) Syed Ghaus Ali Shah. 2) Illahi Bakhsh Soomro, Aur
Ye Yaqeen Ke Saath Kaha Ja Sakta Hay Ke In Dono Hazraat Ko Election Jeetne Ke
Liye Kam Se Kam 20 Saal Ka Intizaar Karma Hoga Kiyoon Ke Un Ke Mad-E-Muqabil,
Qaim Ali Shah Aur Sardar Aijaz Jakhrani Jaise Mazboot Jiyaley Hain. Sindh Se
PPP, MQM, Ziyada Tar Seats Apne Qabze Mein Kar Len Ge, Sirf Sanghar Dist. Ki Two
Seats, Naushero Feroz Ki Ek Seat, Aur Thar Ki Ek Seat PPP Ko Tuff Time Diya Ja
Sakta Hay Lekin Wo Bhi Nawaz League Nahi De Sakti. Sind Se Nawaz League Koi Bhi
Seat Lene Ki Position Mein Nahi Hay.
Islamabad Ki Do Seats Hain Aur Wo Dono Nawaz League Jeet Jaey Gi Lekin Un Mein
Se Ek Seat Par Muqabley Ka Imkan Rad Nahi Kiya Ja Sakta.
Punjab Ki Position Dene Se Pehle Mein In Ooper Diyey Gaye 4 Units Co
Conclusionize Karoon Ga, 113 Seats Mein Nawaz League 6 Ya 7 Seats Lene Ki
Position Mein Hay. 2/3 Position To Door Ki Baat Hay Lekin Govt. Banana Ke Liye
Nawaz Shareef Saheb Ko Punjab Ki 148 Seats Mein Se 130 Seats Ki Zaroorat Hogi.
Is Ka Saaf Matlab Ye Hoga Ke Agar PPP Ya Q-League Dono 19 Seats Lene Mein
Kamiyab Ho Jatey Hain To Nawaz League Ki Govt. Centre Mein Nahi Ban Sakti, Ab Ye
Baat Mujhey Likhne Se Pehle Qareen Khud Andaza Laga Len Ke Kiya Nawaz Shareef
Saheb Itna Popular Ho Chuke Hain Ke Wo Ye Target Hasil Kar Saken.
Punjab Mein Ziyada Tar Siyasat Khandanon Aur Pockets Ke Gird Ghoomti Hay, Lekin
Is Ke Bawajood, Potaohar, Lahore City, Aur Central Punjab Ke Shehri Areas Mein
Nawaz League Ka Bahot Ziyada Asar Hay Aur Wahan Se Nawaz League Ko Achi Khasi
Tadad Mein Seats Milne Ka Imkaan Hay Aur South Punjab Mein Rural Areas Mein PPP
Ka Khasa Nazriyati Voter Maujood Hay, Khusoosan Bahawalnagar, Rahimyar Khan,
Lodhran, Multan, Muzaffar Garh, Central Punjab Mein Sirf Okara Aisa Dist. Hay
Jahan PPP Ka Nazriyati Voter Kaseer Tadad Mein Maujood Hay. Main Apni Pockets
Wali Baat Ko Justify Karni Ki Koshish Karta Hoon. Sab Se Pehle Ham Tajziya
Karien Ge Q-League Ko Siyasi Saakh 2007 Election Mein Bahut Ziyada Kharab Thi
Lekin Us Ke Bawajood Punjab Se 32 General Seats Jeetna Q-League Ya Musharaf Ka
Kamal Nahi Tha Balke Wo Sab Log Khandan Ya Zaati Hasiyat Mein Apni Apni Seats
Jeet Kar Aye The. Is Ke Badle Mein PPP Ke Pass Bhi Aise Kuch Pockets Maujood
Hain. For Example Potohar Area Mein Raja Parvez Ashraf, Gujranwala Se Ch. Imtiaz
Safdar Wiraich, Gujrat Se Ch. Qamar Zaman Qaira, Ch, Ahmed Mukhtiyar, Sargodha
Se Tasleem Qureshi, Lahore Se Samina Khalid Ghurki, Muzaffar Garh Se Qayoom
Jatoi Aur Hina Rabbani Khar, Jhang Se Syed Inayat Ali Shah, Multan Se Syed
Yousuf Raza Gilani Aur Shah Mehmood Qureshi, Rajan Pur Se Sardar Dost Mohd
Mazari, Mandi Bahauddin Se Nazar Muhammad Goondal, Qasoor Se Sardar Asif Ahmed
Ali, Sialkot Se Firdos Ashique Awan, Okara Se Miyan Manzoor Ahmed Watto Aur
Faisalabad Mein Bhi Chand Ek Aise Log Maujood Hain Jo Kissi Bhi Soorat Haal Mein
Apni Khandani Seats Nikal Lein Ge Aur Southern Punjab Mein PPP Ki Position Bhi
PPP Ko Kafi Support Karey Gi. Is Sari Soorat-E-Hall Mein Nawaz League Punjab
Mein 148 Seats Mein Se Lag Bhag 80 General Seats Jeet Sakti Hay Lekin Ye Tadad
Govt. Banana Ke Liye Kaafi Nahi Hay. Punjab Govt Bananey Ke Liye Nawaz League Ko
Koi Preshani Nahi Hogi Lekin Markaz Mein Govt. Bananey Ke Liyey Nawaz Shareef
Sahib Ko 3 Chotey Provinces Mein Qadam Jamana Hongey Aur Un Par Lagi Punjab Ki
Chhaap Ko Mitana Hoga, Aur MQM, ANP, Q-League JUI Mein Se Kuch Parties Ke Saath
Alliance Karma Hoga. Nawaz Shareef Ko Imran Khan Aur Jamait-E-Islami Se Bhi Seat
Adjustment Karni Hogi Aur Kuch Seats Un Ke Hawaley Karni Hogi, Warna Ye Dono
Parties Nawaz League Ke Vote Bank Par Effective Hongi Aur Is Sari Soorat-E-Haal
Mein Nuqsaan Nawaz Shareef Ka Hi Hona Hay Aur PPP Ye Janti Hay Ke 2007 Ke
Elections Mein Imran Khan Aur Qazi Ke Bycott Ka Faida Nawaz Shareef Ko Huwa Tha
Aur Is Sarey Amal Se Nawaz Shareef Ko 10 Se 18 Seats Izaafi Mili Thi Aur Agar Ye
Dono Parties Election Mein Hisa Letei Hain To Yaqeenan PPP Is Baat Ka Faida
Zaroor Uthaye Gi.
Qareen Merey Andaze Ke Mutabiq Nawaz League Ab Kabhi Bhi 2/3 Madate Nahi Le
Sakti Lkin Agar Allience Karke Central Govt, Bana Bhi Li To Bhi Senate Se Koi
Bill Wo Pass Nahi Karwa Sakey Gi Jab Tak Wo Chote Provinces Ki Siaysi Partiyoon
Se Talukaat Achey Nahi Rakhey Gi.