Faisloon mein Takheer Nuqsan Kis ka?.
(Atiq Laghari, Hyderabad)
PPP Ne Hamesha Faisloon Mein
Takheer Se Kam Liya Aur Ye Rawish Ab Tak Jari Hay Jis Se Mulk Ka Aur Khud PPP Ka
Nuqsan Ho Raha Hay. Sab Se Pehley Adliya Ki Bahli Jo Ki Bhi Lekin Jab Us Ka Koi
Credit PPP Na Le Saki. In Se Koi Poochne Wala Nahi Ke Jab Ap Ne Koi Kam Karna
Hay To Us Mein Be Ja Der Q Kartey Hain.
NRO Case Mein Bhi Kuch Aisa Hi Huwa Hay Ap Ne Khat Likhna Tha Aur Likh Diya
Lekin Ap Ki Der Ki Waja Se Ek Prime Minister Qurban Karna Para, Doosra Bhi Bal
Bal Bach Gaya. Isi Tarah Political Faisley Bhi Isi Tirz Pe Kiye Ja Rahey Hain,
Mujhey Yad Hay Jab PPP 2008 Ke Election Jeeti Thi To AAJ TV Pe Bolta Pakistan Pe
Jinab Nusrat Javed Ne Ek Tabsara Kiya Tha Ke Agar PPP Sahi Card Khele Aur KPK Ke
Liye Anwar Saifullah Ko CM Candidate Declare Kar De Aur Punjab Ke Liye Manzoor
Watoo Se Behtar Koi Candidate Nahi Hay. Aur Aj Ham Ne Dekha Ke PPP Hamesha Ki
Tarah Riwayti Susti Ke Baad Aj Q-League Ke Saath Baithi Hay Jo Us Ko 2008 Mein
Karna Tha Na To N League Ki Hukumat Banti Na Hi Koi Unification Block Banta Aur
Na Hi Q-League Ka Ye Hasher Hota. Sahi Waqt Pe Sahi Patey Khelna Hi Siyasat Hay.
Zardari Aj Punjab Aur KPK Provinces Mein Sab Kuch Lutake Takheer Se Hi Sahi,
Sahi Taraf Gamzan Huwi Hay Lekin Ab Bahut Der Ho Chuki Hay Aur PTI Aur N-League
Punjab Aur KPK Mein Bahut Achi Position Mein Aa Chuki Hain, Jis Ka Andaza
Maujooda Gelp Survey Mein Dekha Ja Sakta Hay Jis Mein PPP Ki Position Bahut
Kharab Hay Kiya Ab Anwar Saifullah Aur Mian Manzoor Watoo PPP Ko Pehley Jaisa
Mazboot Bana Saktey Hain, Ye Bahut Bara Challenge Hay. Yahan Par Ye Zaroor
Kahoon Ga Ke PPP Punjab Mein Kamzor Zaroor Huwi Hay Lekin Itni Bhi Nahi Jitni
Media Pe Tasawar Ki Ja Rahi Hay. PPP Ke Jiyaley Apni Party Se Naraz Ho Ker Ghar
Baith Jatey Hain Lekin Wo Kissi Doosri Jamait Ko Vote Nahi Dete. Jis Ke Liye
Mere Pass Ek Thos Daleel Hay Ke Pichle Dino Media Par Ameer Jamait-E-Islami Syed
Munwar-Ul-Hassan Se Jab Ye Sawal Kiya Gaya Kea P Ayenda Election Mein Kis Se
Alliance Banayen Ge To Jawab Diya PPP Aur MQM Ke Ilawa Sab Se Bat Ho Sakti Hay
Us Ki Waja Yeh Hay Ke PPP Aur MQM Ka Voter Non Convertible Hay.
Sindh Mein Bhi PPP Ko Bahot Sarey Challenges Ka Samna Hay Mian Nawaz Shareef Ne
Sindhi Nationalists Se Alliance Kar Liya Hay Aur Un Ko Finance Bhi Kiya Jar Aha
Hay, Aur Filhal Nawaz Shareef Apni Hikmat-E-Amli Mein Kamiyab Nazar Aa Rahi Hay.
Nationalists Ne PPP Ko Sindh Mein Engage Kiya Huwa Hay, Zardari, Faryal Talpur
Ko Bahut Jaldi Sindh Ki Politics Mein Intervene Karna Chahiye Warna Riwayati
Susti Kaheen Sindh Card Ko Zayal Na Kar De. Jald Se Jald PPP Ko MQM Se Chutkara
Hasil Karna Chahiyey Controversial Baldiyati Bill Ko Undo Karna Hoga Aur Sindh
Ki Siyasat Dr. Zuilfiqar Mirza Ko De Deni Chahiyey Jis Se PPP Ki Qayadat Sindh
Mein Achi Result Hasil Kar Sakti Hay Aur PPP Ke Aham Leaders Punjap Par Focus
Rakh Saktey Hain. Jaisa Ke Mian Manzoor Ahmedf Watoo Andiya De Chukey Hain Ab
PPP Leaders Ko Apney Naraz Jiyaloon Ko Mananey Ke Liye Sab Ke Ghar Par Jana Hoga
Un Ko Samjhana Hoga Aur Un Ko Active Karna Hoga. Agar PPP Ke Markazi Leaders
Aisa Karne Mein Kamiyab Ho Gaye To Next Election Mein Wo Achey Result De Saktey
Hain Lekin Bat Pir Wahi Agar Faisley Takheer Se Huwe To PPP Sindh Ki Party Ban
Kar Reh Jaey Gi.