Guzishta Dinoo Jub Awaam Ka Ek
Samundar Lahore Ki Roads Pay Islamabad Ki Traf Rawan Dawan Tha Aur Jasay Jasay
Islamabad Ka Fasla Kam Ho Reha Tha Wasay Wasay Iss Awaam Kay Samunder Mein Azafa
Hota Ja Reha Tha,Islamabad Mein Bathay Govt. Kay Loagon Ki Na Siraf Aankhein
Phat Rahi Thein Balkay Dil Ki Dharkanein Bhi Teez Ho Rahi Thein Un Ki Samaj Mein
Nahi Areha Tha K Iss Tofan Ko Kis Terha Rokein Jo Har Rukawat Tor Kar Un Ki Traf
Gamzan Tha,Iss Baybasi Kay Alam Mein Kisi Makroh Aur Shatani Zahen Nay Ek Aesi
Chal Sochi Jis Say Na Siraf Pakistan Ki Salmiat Ko Khatra Ho Sakta Tha Balkay Un
Kay Azaim Bhi Poray Ho Saktay Thay Lakin Khuda Ka Shukar Ha Wo Apnay Iss Ganday
Maqasid Mein Kamyab Na Ho Sakay,15 March Ko Jub Long March Start Ho Chuka Tha
Yaka Yak Ppp Kay Ithadi Mqm Aur Molana Fazul Rehman Aur Khud Ppp Kay Pir Mazar
Ul Haq Nay Tasub Ka Shosha Chor Deya,Pir Mazar Ul Haq Nay Toa Nawaz Sharif Ko
Dosra Sheikh Mujeeb U Rehman Kah Deya Aur Mqm Nay Aesa Toa Nahi Kaha Lakin Iss
Ya Ilzam Laga Deya K Sindh Kay Khilaf Naray Bazi Hoee Ha Wahan Aur Ya Altimatam
Day Deya Govt. Ko K Agar 24 Hours Mein Iss Ka Notice Na Leya Geya Toa Hum Govt.
Say Nikal Jaein Gay,Ya Tamam Batein Bak Waqat Aur Siraf Makhsoos Parties Ki Traf
Say Aana Iss Bat Ka Saboot Ha K Ya Koi Socha Samja Mansoba Tha Jo K Nakam Ho
Geya, Her Media Nay Yahi Kaha K Hamari Coverage Teams Jo K Lamha Ba Lamha Ki
Reporting Kar Rahi Hein Kisi Nay Aesi Koi Report Nahi Ki Siwaye Iss Kay K Go
Zardari Go Kay Naray Zaroor Lagay Hein Wahan,Kitnay Dukh Aur Afsoos Ki Bat Ha K
Apnay Maqasid Kay Leyee Hum Kuch Kahnay Say Pahlay Ya Kayoun Nahi Sochtay K Aesi
Bat Ka Result Kya Niklay Ga Aur Phir Jo Bat Hum Kah Rahay Hein Kya Hum Iss Ko
Pora Bhi Kar Sakein Gay,Ab Agar Mqm Say Ya Pocha Jaye K 24 Kya Ab Toa 72 Ghantay
Guzar Chukay Kayoun Na App Loag Govt. Say Alag Howay Kayoun K Govt Aur Media Nay
Iss Jhot Kay Planday Ka Koi Notice Nahi Leya,Kya Ya Bahter Nahi K Hum Koi Aesi
Bat Na Karein Jis Ko Pora Karna Mushkil Ho,Mqm Jo K Khud Sindh Ki Ek Bari Party
Ha Lakin Hamisha Dosron Nay Iss Say Apna Faida Uthaya Ha Aur Mqm Dosron Ko Faida
Danay Kay Leyee Khud Pechay Hoti Ja Rahi Ha Mqm Kabhi Musharraf Kay Leyee
Istimal Hoti Ha Aur Kabhi Zardari Kay Leyee,Kisi Bhi Party Ko Sayasi Dushmani
Mein Yahan Tak Nahi Jana Chahyee K Wapsi Mushkil Ho Aur Na Hi Koi Aesi Bat Kahni
Chahyee Jis Say Us Ka Apna Voter Mutnafir Ho.