Kala Bagh DAM

(Atique Laghari, Hyderabad)

Aj Maine Subah Socha Tha Provisional Autonmy Par Ek Column Likhoon Ga, Lekin Aj Ek Dost Sultan Saheb Lahore Already Ye Topic Likh Chukey Hain Lekin Ye Column Detailed Nahi Hay. Maine Jaisa Ke Apne Ek Column Energyy Crices Of Pakistan Mein Kuch Cheezon Ka Hawala Diya Tha, Aur Ye Likha Tha Ke Kala Bagh DAM Pe Main Tafseel Se Likhoon Ga. Aj Maine Ba Ghaur Idrees Rajput Aur Rasool Bux Palijo Saheb Ki Kuch Tehreeron Ka Jaiza Liya, Aur Musharaf Ne Jo Pro DAM Compaign Chalai Thi Us Ko Bhi Veiw Kiya Aur Jo Anti DM Tehreeken Chalti Rahi Hain, NWFP, Balochistan Aur Sind Mein Sab Ka Mauqaf Dekha Hay Us Ke Baad Apna Tajziya Qareen Ke Liyey Pesh Karta Hoon.

Retired Air Field Marshal Ayoob Khan Ne 1967 Mein Is Mansoobe Pe Amal Karna Chaha Tha Aur General Yahya Khan, Zuilfiqar Ali Bhutto, General Zia, Benazeer Bhutto, Miyan Nawaz Shareef Sb. Aur Parvez Musharaf Ne Bahut Khoob Koshish Ki Ke Kissi Tarah Kala Bagh DAM Bana Diya Jaey. Beshaq Hamarey Watan-E-Azeez Ko Dams Ki Zaroorat Hay, Aise Waqt Mein Jab, China, India Samait Duniya Mein Chotey Barey Dams Bari Tezi Se Banayey Ja Rahey Hain, In Ka Maqsad Sirf Energy Produce Karna Nahi Hay Balke Jaisa Ke Duniya Ke Mahireen Aney Waley Waqt Mein Pani Ki Shortage Ki Soorat-E-Hall Ko Ghambheer Bata Rahey Hain Is Liyey Bhi DAM Banana Zaroori Hain. WAPDA Ne Kala Bagh DAM Ko Naguzeer Qarar Diya Hay. Lekin Pakistan Mein Ye Ek Siyasi Issue Ban Gaya Hay. Aur Is Par National Consensus Ki Behad Koshish Ki Gayee Lekin Koi Bhi Province Punjab Ke Ilawa Apney Mauqaf Se Hat Nahi Pa Raha. Agar Jaiza Liya Jaey To Is Waqt Pani Ki Shortage Sab Se Ziyada Sind Aur Balochistan Mein Hay. Sind Ke Lower Areas, Badin, Thatta, Kotri, Tando Muhammad Khan, Tando Allahyar, Sanghar, Mirpur Khas, Umerkot Aur Thar, Aisey Dist, Hain Jahan Peene Ka Pani Bhi Sirf 6 Maheene Ata Hay Baqi 6 Maheeney Yahan Ke Log Bari Preshani Mein Mubtila Rehtey Hain. Isi Bat Ko Buniyad Bana Kar General Musharaf Ne Sind Ko Convence Karne Ki Bharpoor Muham Chalai Ke DAM Ban Gaya To Sab Ko Pani Milega. Lekin Musharaf Ka Mausar Control Hone Ke Bawajood SIND Assembly Ne Kala Bagh DAM Ke Khilaf Qarardad Pass Kar Ke Musharaf Ko Hairatzada Kar Diya Aur C.M Sind Ne Musharaf Sb Ko Do Tok Lafzon Mein Keh Diya Ke Hamarey Halke Ke Awam Ham Ko Aney Nahi Dete. Ab Zara Main Detail Mein Likhna Chahoon Ga Ke Kon Se Province Ko Kiya Objection Hay. Aur Kiya Wo Objection Sahi Bhi Hay Ya Anna Parasti Hay.

NWFP

Pakhtoonkhawa Province Ko Sab Se Bara Ikhtilaf Ye Hay Ke Kala Bagh Dam Ka Designe Naushera Ke Liye Mauzoon Nahi Hay, Bahut Bari Abadi Ko Naqal Maqani Karni Parey Gi, Aur Designe Ke Mutabiq Ye Khatarnak Had Tak Ooncha Hay. Is Cheez Ke Liyey Wafaqi Hukumat Ne Do Bar Kala Bagh Dam Ka Design Bi Change Kiya Hay Lekin NWFP Is Ko Abhi Tak Accept Karney Ko Tayar Nahi Hay, Aur Dossra Bara Reason, Tarbela DAM Ki Rylity Na Dena Bhi Sabab Hay. Jaisa Ke Pakistan Ke Hukamrano Ka Khulasa Raha Hay Waedey Aur Ailan Kiye Jatey Hai Lekin Un Pe Amal Nahi Kiya Jata. WAPDA Ke Zime NWFP Ki 110 Billion Rupees Ki Rylity Wajab-Ul-Ada Hay. In Hallat Mein NWFP Kabhi Bhi Kala Bagh Dam Ke Haq Mein Nahi Jaey Gi.

Balochistan.

Balochistan Ka Direct Koi Bhi Objection Nahi Hay Lekin Shuru Din Se Us Ka Stauns Wazih Hay Ke Un Ko Tab Tak Objection Hay Jab Tak Sind Ko Objection Hay Kiyoon Ke Balochistan Ko Pani Ki Farahimi Sindh Se Hoti Hay, Zahir Hay Short Fall Mein SINDH Ke Sath Balochistan Bhi Shareek Hota Hay.

Sindh.

Kala Bagh DAM Per Sab Se Ziyada Objection SINDH Ka Raha Hay Aur Har Daur-E-Hukumat Mein Sindh Assembly Kala Bagh DAM Ke Khilaf Qarardad Pass Karti Rahi Hay Zuilfiqar Ali Bhuto, Benazeer Bhutto, Nawaz Shareef, Ayoob Khan , General Zia, Ya Musharaf Sab DAM Banana Chahte The Lekin Un Ke Apni Parties Ki Govt. Sindh Assembly Mein Kala Bagh Dam Ki Mukhalifat Karti Rahi Hay. Sind Ko Kiya Reservations Hain Kiyoon Mukhalifat Kartey Hain Wo Sahi Hain Ya Ghalat Hain Is Ka Zara Tafseel Se Jaiza Lena Hoga.

Kala Bagh DAM, Indus River Ke Ooper Plan Kiya Gaya Hay. Indus River Ka Pani Tamam Provinces Ko Divide Kiya Gaya Hay. Mukhtalif Adwar Mein Ye Agreement Change Hota Raha Hay Lekin Maujooda Agreement Ke Tehet Pani Ki Distribution Kuch Is Tarah Hay.

Punjab 37%
Sindh 37%
NWFP 6%
Balochistan 9%
Kotri Down Stream 5%
Line Losses 8%

Ye Formula Tamam Wasail Ki Buniyad Pe Banaya Jata Hay, Punjab Ka Hisa River Indus Mein Is Liyey Kam Hay Ke Mangla DAM Aur Punjab Ke Tamam Rivers Aur Zer-E-Zameen Pani Meetha Hone Ki Waja Se. Sindh Mein Zer-Ezameen Pani Meetha Nahi Hay Aur Wahid Waseela River Indus Hay. Aj Sindh Ka Objection Hay Ke Kala Bagh Dam Ko Bilkul Khatam Kar Diya Jaey Lekin 1984 Se Pehle Sindh Sirf Kala Bagh Dam Ki Design Mein Tabdeeli Chahta Tha. 1984 Tak SIND Ka Kehna Tha Ke Kala Bagh DAM Mein Jo Pani Store Hoga Wo Sab Provinces Ka Pani Hoga, Har Province Ka Hisa Us DAM Mein Store Hoga, Aur Bijli Banayee Jaey Gi, Yahan Tak Sindh Ko Koi Objection Nahi Tha Aur Objection Out Flow Ka Tha. Designe Ke Mutabiq Kala Bagh DAM Ka Out Flow Do Canals Ke Waseeley Hoga Jo Jehlam, Se Hote Huwey OKARA, Bahawalpur, Sahiwal Dera Ghazi Khan Aur Bahawalpur Dist. Ki 3500000 Acer Banjar Zameen Ko Sairab Kare Ga. Sindh Ka Objection Ye Hay Ke Jab Pani Jama Tamam Provinces Ke Hise Se Hoga To Out Flow Sirf Punjab Ke Liyey Kiyoon?. Sindh Ka Kehna Tha River Indus Se Pani Liya Jaey Store Kiya Jaey Bijli Paida Ki Jaey Aur Pani Ka Out Flow Wapas River Indus Mein Kiya Jaey Aur Tamam Provinces Ko Un Ke Hisey Ka Pani Faraham Ho Sakey. Agar Dekha Jaey To Ye Objection Jaiz Hay. Lekin 1984 Ke Baad Sindh Ne Ye Objection Lagaya Ke Kala Bagh Dam Ko Bilkul Khatam Kar Diya Jaey. Is Tabdeeli Ki Waja Bhi Sindh Ki Hat Dharmi Nahi Thi Par Is Ke Peeche Bhi Hukumat Ki Wada Poora Na Karne Ki Adat Waja Thi. 1976 Mei River Indus Se Chashma Jehlam Link Canal Nikala Gaya. Jis Ki Manzoori Zuilfiqar Ali Bhutto Ne Di Thi Aur Ek Written Agreement Huwa Tha Sindh Aur Punjab Ki Govt. Ke Darmiyan. Jis Ke Tehet Ye Canal Sirf July Se September Tak Pani Le Sakta Tha Jab River Mein Tughiyani Ho, Lekin Us Ko Bhi Mashroot Rakha Gaya Tha Ke IS Canal Ko Operational Karne Ke Liye Sindh Se Ijazat Lena Lazmi Hogi.

Ye Agreement 1984 Tak To Sahi Tha Lekin 1884 Mein Punjab Ne Beghair Ijazat Is Ko Regular Basis Par Operational Kar Diya. Jis Ke Nateejey Mein Sindh Ne Apna Mauqaf Tabdeel Kiya. Aur Jab Sindh Ne Apna Mauqaf Tabdeel Kiya To WAPDA Ne Jattan Kiyey Ke SINDH Ke Purane Mutalbe Ke Tehet Ab Koi CANAL Nahi Banaya Jaey Ga. Lekin Tab Tak Halat Yaksar Tabdeel Ho Chuke They Aur Sindh Ko Patta Tha Ke Ek Baar Agar DAM Ban Gaya To Punjab Ke Liyey Wada Torna Aur Canal Banana Koi Mushkil Kam Nahi Hoga.

Ab Agar Is Sarey Tanazur Mein Dekhna Hay Ke WAPDA Ya Central Govt. Bijli Ki Paidawar Ka Bahana Bana Kar DAM Ko Na Guzeer Keh Chukey Hain, Agar Sach Mein Bijli Banana Hi Problem Hay To 1967 Se Lekar Diya Mir Bhasha Dam Jis Par Sab Provinces Mein Consensus Paya Jata Raha Hay To Aakhir Us Ko Priority Pe Kiyoon Nahi Banaya Gaya, ZID Aur Anna Sirf Kala Bagh Dam Per Kiyoon. Is Se Mera Nateeja Ye Akhaz Hay Ke WAPDA Ke Dil Mein Koi Chor Zaroor Hay. DAM Zaroor Bananey Chahiyey Lekin Consensus Ke Saath, NWFP Mein Chotey Chotey Dam Banayey Ja Saktey Hain, Kabil River Per Bhi DAM Banaya Ja Sakta Hay, Sehwan DAM Par Bhi Physibility Tayar Hay, Hukumat Ko Chahiyey In Tamam Dams Par Kam Start Kiya Jaey, Jaisa Ke Bhasha Dam Per Tezi Se Kam Start Ho Gaya Hay Aur 2016 Tak Ye Operational Ho Jaey Ga, Mangla DAM Ki Remodeling Ho Rahi Hay Isi Tarah Tarbela DAM Ki Bhi Remodeling Ki Jaey Aur Sehwan Dam Par Bhi Jald Az Jald Kam Start Kiya Jaey Ta Ke Aney Waley Dino Mein Pani Ki Kami Aur Bijli Ki Paidawar Zaroorat Ke Mutabiq Ho Sake.
 

Atique Laghari
About the Author: Atique Laghari Read More Articles by Atique Laghari: 16 Articles with 50726 views Me From Hyderabad, 36 Married working in PTCL.. View More