Na Haq Khoon Kab Tak Behata Rahay Ga
(Mohsin shaikh, Hyderabad sindh)
Karachi Mai 3 Din Phly Ek
Nojawan Shahzaib Ka Qatal Huwa Aur Is Nojawan Ki Qatal Ki News Media Aur Social
Media Main Dekh Kar Hui Shahzaib Nami Nojawan Ka Qatal Kesay Huwa To Shahzaib Ne
Apni Behan Ki Izzat Phar Awaz Uthai Thi Aur Jin Logon Ne Shahzaib Ki Behan Phar
Awaz Kasi Wo Wadayray Aur Jagir Dar Loge Hain Ba Asar Jo Mulk Phar Buri Tarha
Qabiz Hain Shahzaib Ki Behan Ki Izzat Phar Wadayray Ki Olad Ne Mali Ankh Uthai
Aur Is Ki Bhen Phr Awaz Bi Kasi Jis Phar Is Nojawan Ne Apni Behan Ki Izzat
Bachai Aur Un Zalimo Ke Samnay Dath Gya Jis Phar In Ke Mabain Talaq Kalami Hui
Shahazaib Ka Bap Jo Police Main Kud Ek Officer Hain Aur In Zalimo Se Bat Karke
Sulha Ke Lia Agree Ho Gy Mamla Katam Hone Ke Bad Bi Is Wadayray Aur Jagir Daron
Ki Olad Ne Is Police Officer Ke Betay Shahzaib Ko Usi Wakat Firing Karke Jan Se
Mar Dala Shahzaib Apne Waldain Aur 2 Behano Ka Eklota Beta Tha Aur Wadayray
Jagir Dar Ki Olad Ne Is Masom Nojawan Jis Ki Age 20 Saal Thi Bedardi Se Qatal
Kar Dala Is Nojawan Ka Qasoor Sirf Ya Tha Ke Is Nojawan Ne Apni Behan Ki Izzat
Ki Awaz Uthai Thi Shahzaib Ke Qatal Ke Bad Se Aaj Tak Karachi Press Club Ke
Bhair Civil Socity K Logo Ka Ahatijaj Jari Hain Aur Qatal Ki Giriftari Aur Insaf
Ka Mutalba Kia Ja Rha Ha Sawal Ya Hain Aaj Wadayray Aur Jagir Dar Loge Qanoon Se
Bi Balatar Hogy Hain Aur Qanoon Bi Aaj In Wadayro Aur Jagir Daro Se Darta Ha To
Phr Aaj Qanooni Police Adalatay Kis Kam Ki Jo Wadayro Aur Jagir Daro Ko Touch Na
Kar Saky Aur Jagir Dar Ager Mulzim Qaatil Ha To Police Adalat Inko Saza To Kia
Hath Hi Nahi Laga Sakti Aur Asa Qanoon Katt Puttli Ka Tamasha Hain Yahi Wo
Wadayray Aur Jagir Dar Loge Hain Jo Is Mulk Phar Qabiz Hain Aur Is Mulk Ko Apni
Jagir Bana Rakha Hain Shahzaib Ka Khoon Raiga Nahi Jae Ga Zuloom Jab Had Se Bar
Jae To Rehamat-E-Elahi Ko Josh Aahi Jata Hain Raat Kitni Hi Taariq Q Na Ho Lakin
Ek Roshan Subha Zaroor Ati Hain -
Mhakomo Ke Paon Talay Ya Dharti Ghar Ghar Dharky Gi
Jab Ahalay Sitam Ke Sir Uper Ya Bijli Karr Karr Karrkay Gi
Lazim Hain Hum Bi Dekhay By Faiz Ahamad Faiz