Amal aur Naseeb

(Sabika Sheikh, karachi)

Amal Aur Naseeb!
Hamara Masla Yeh Hai Kay Hum Cheezain Parhtey Hain Aur Dekhtya Hain Bajaye Iskay Kay Hum Un Cheezon Se Koe Acha Sabaq Hasil Kar Sakein Hum Bus Apni Zaroorat Or Khuwahish Kay Mutabiq Conclusions Nikal Lete Hain Hum Kabhi Usbaat Ki Gahrai Main Janey Ki Kooshish Hi Nahi Kerta Aur Karain Bhi Kyon Jab Hamarey Badoon Ne Is Baat Ki Zaroorat Mehssos Ni Ki Tu Hum Kyun Apney Dimagh Istemal Karain Kyon Apne Zameer Se Sawal Karen .Bachpan Se Sunt Arahi Hun Aurat K Naseeb Se Paisa Atta Hai Agar Koe Khush-Haal Hai Tu Ye Uski Aurat Ka Naseeb Hai Or Agar Koe Bad-Haal Hai Tu Ye Uskii Aurat Ka Naseeb Hai .Tu Phir Kya Kiya Jaye Us Bad-Naseeb Aurat Ko Nikal Diya Jaye?? Aur Dusrii Shadi Jaye?? Sunnay Main Hi Kitna Ajeeb Lagta Hai Na Tu Phir Kyon Hum Aisa Soochtey Hain .

Sab Se Pehli Baat Jo Mere Zehan Men Atti Hai Wo Ye Hai Ki Kya Allah (Na-Auzubillah) Itna Zalim Aur Na-Insaaf Hu Sakta Hai Kay Kis Ko Qismat Ka Itna Dhanni Bana De Aur Kisi Ko Itna Bad-Naseeb.Kyon Kay Agar Musalman Huny Kay Natey Hum Is Baat Per Yaqeen Rakhte Hain Kay Naseeb Sab Allah Kay Likhey Hue Hain Toh Humain Is Baat Per Bhi Yaqeen Karna Chaye Haina!

Main Samajhtii Hoon Kay Aurat Kay Naseeb Sey Paisa Atta Hai Kyun Kay Woh Ghar Ko Jannat Bhi Bana Sakti Hai Or Jahanum Bhi. Agar Aurat Saleekamand Hu Aur Achi Aur Musbaat Sooch Ki Malik Hugi Toh Mushkil Waqt Main Sath Bhi Nibhaye Gi Aur Ghar Ki Taraf Se Zehani Aur Dilli Sukoon Bhi Degi Isey Ghar Waloon Ka Kaam Main Acha Aur Zyadha Dehaan Lagey Ga Aur Khush-Hali Bhi Ayegi. Aur Wahii Agar Aurat Na-Shukri Aur Shikwa, Gilla Karne Wali Aur Munfi Sooch Ki Malik Hugi Toh Na Hi Who Ghar Ki Taraf Se Aur Na Hi Zehan Ki Taraf Se Sukoon De Sakey Gi Jiski Wajha Se Ghar Ka Sukoon Bhi Tabha Huga Aur Har Waqt Ki Qil Qil Se Barkat Bhi Hat Jaye Gi Tu Phir Khush-Hali Ka Toh Naam Hi Bhool Jayen!!

Shayad Yehi Wajha Rahi Hugi Kay Buzurgoon Ney Ghar Ki Khush-Hali Aur Paisoon Ko Aurat Ke Naseeb Se Kha Hai.Kyon Kay Kum Se Kum Main Tu Yeh Nahi Man Sakti Kay Mera Allah Pak Ju Kay Itna Insaaf Pasand Ha Kisi Ko Itna Khush-Naseeb Bana Dey Kay Sari Duniya Ki Kamyaabi Us Hi Kay Qadmoon Main Ajaye Aur Kisi Ko Itna Bad Naseeb Kay Wo Har Jagha Ruswa Hujaye. Aur Agar Aisa Huta Toh Kya Allah Pak “Amal” Karne Ki Hidayt Deta?? Shayad Isiliye Kaha Jaata Hai Kay
Amal Say Zindagi Banti Hai...
Jannat Bhi Jahnaum Bhi!!
Is Shair Ko Hum Is Mamley Mai Aise Bhi Samajh Saktey Hain Kay
 Aurat Kay Amal Se Zindagi Banti Hai...
Jannat Bhi Jahanum Bhi!!
 

Sabika Sheikh
About the Author: Sabika Sheikh Read More Articles by Sabika Sheikh: 2 Articles with 4724 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.