Pakistani Awam Tamshahii
(Mohsin shaikh, Hyderabad sindh)
Qaireen Ap Sub Jante Hain Ke
Pakistani Awam Duniya Bhar Main Jazbati Aur Mushkil Wakat Main Ek Mutahad Hone
Wali Qoum Ke Tor Phr Apni Alag Pechan Aur Maqam Rakti Hain Pakistani Awam Jab Bi
Watan-E-Aziz Phr Koi Mushkil Offta Ati Hain Ya Qoum Apne Apas Ke Tamam Tar
Iqtalafat Bhola Kar Ek Takat War Qoum Ban Jati Hain Iski Example Ap Pak India
War 1965 Aur 1971 Ki War Dekh Aur Tariq Main Phar Chukay Hain Aur 1965 War Main
Watan-E-Aziz Ki Pori Qoum Apni Pak Army Ke Shana Ba Shana Kari Thi Aur Ise Phly
1947 Ke Andar Ya Qoum Quaid-E-Azam Mohammad Ali Jinaha Ke Sarbraii Main Apne
Azad Watan Aur Haqooq Ke Lia Quaid-E-Azam Ke Sath Yak Basta Hokar Ek Plat Frm
Phr Kari Thi Aur Phir Is Qoum Ki Unity Aur Efford Rang Le Kar Aur Is Efford K
Samrat Ki Badolat Allah Pak Ne Ya Pyara Pak Watan De Dia Is Awam Ko Aur Aaj Ya
Awam Ka Pakistan Hain To Qaireen Main Bat Kar Rha Ho Is Awam Ki Jo Bhot Jazbat
Aur World Main Qabilay Tareef Bi Hain But Wahi Ya Awam World Ke 2nds Qoumo Se
Bhot Pichay Reha Chuki Hain Qk Aaj Watan-E-Aziz Ko Bhot Se Katrat Chaleng
Masahil Ka Samna Hain Aur Awam Hi Is Masahil Aur Chaleng Main Pis Rhi Hain Mar
Rhi Hain Bejli Gus Pani Ata Dal Cheenio Ke Bhorano Ka Bad Tareen Azab Seha Rhi
Hain But Phly Jaisa Yani 1947 Jaisi Unity Ka Muzahira Nhi Karti Aur Aaj Is Awam
Ki Ya Halat Ho Gai Hain K Agr Aaj Koi Leader Pakistan Aur Awam Ke Haqooq Ke Lia
Awaz Utta Rha Hain To Ya Awam Isko Galat Aur Na Jane Kin Kin Alqabat Se Nawaz
Rhi Hain Aur Jo Leader Galat Hain Aur Aaj Inki Mojodigi Main Roz Beshumar Insano
Ka Marna Bejli Gus C.N.G Muktalif Bhoran Main Dabi Phri Ha Ya Awam Inko Ya Awam
Acha Sumjti Hain To Qaireen Aaj Ya Awam 1947 Ki Tarha Ek Awam Aur Unity Ka
Muzahira Q Nhi Krti Aaj Ya Awam Itni Behis Aur Tamashaii Q Bani Beti Hain Aaj Ya
Awam 1947 Ki Tarha Ek Hokar Aur Pakistan Ki Qismat Badalne Ki 1965 Ki Tarha
Jurrat Q Nhi Karti Kiya Aaj Ya Awam In Hukmerano Se Darti Hain Ya Phir Lagta
Hain Aj Ya Quom Tookro Main Batti Phari Aaj Ya Awam Behisi Aur Tamshaii Bani
Beti Hain
Bagicha Atfal Hain Duniya Mere Agay
Shab-O-Roz Hota Hain Tamashah Mere Agay..