Aye Mere Hum Watano Uttho Jago Pakistanio
(Mohsin shaikh, Hyderabad sindh)
Uttho Jago Pakistani Tamam
Qaireen Ke Name Mera Ya Msg Hain Ke Aye Mere Hum Watano Ap Sub Jante Hain Ke Aaj
Watan-E-Aziz Kis Qadar Mushkil Dhoraye Aur Kattan Marhaly Se Guzar Rha Hain Aur
Aaj Watan-E-Aziz Charo Taraf Se Deshat Gardi Ka Shikar Hain Specailst Karachi
Quetta Peshawar Roz Khon Main Naha Rha Hain Quetta Karachi Se Roz Lashay Janazay
Uttna Mamool Ban Chuka Hain Log Apne Pyaro Ki Lashay Uttanay Phar Majboor Hain
Roz Gharo Main Jiraag Gul Ho Rha Hain Maaon Ke Anchal Loot Rha Hain Aurton Ke
Soohag Oujar Rha Hain Masoom Bachay Na Chatay Huway Yatimi Ke Chadar Or Rha Hain
Aur Watan-Aziz Main Ya Silsila Guzashta Kaiye Saalo Se Jarhi Hain Qatal Garat
Bada Mani Aur Mulk Main Qanoon Samat Sub Kuch Hotay Way Bi La Qanooniyat Ka Ka
Raaj Hain Aur Awam Ke Jan O Mal Ke Thafooz Ki Zamat Aur Value Nhi Aur Mojooda
Hakomat Is Mamlat Main Bilkul Bi Sanjida Nhi Hain To Aye Mere Qoum Ke Tamam
Jawano Mardo Aurton Bacho Buzroogo Ab Uttho Jagon Aur Apne Hathon Main Aman
Salamti Kush Hali Aur Qanoon Ki Bala Dasti Ki Shama Roshan Kar Apne Apne Gharo
Se Niklo Aur Is Zuloom Morsi Farsoda Seyasat Aur In Hukmirano Aur La Qanooniyat
Ke Kehlaf 1947 Ki Tarha Motthad Aur Yak Basta Ho Kar Jar Se Katma Karo Aye Mere
Watan Main Rhane Walo Ab Wakat Bethy Rehane Aur Sochnay Ka Zara Bi Nhi Aur Kitne
Barso Salon Se Hum Yunhi Behis Be Bebas Bethay Roz Media Main Apne Mulk Ki
Barbadi Aur Apne Bhaion Ki Mar Ne Ki News Tamashah Dekhtay Hain Aur Roz Media
Main Tajziya Nighar Is Topic Phr Apne Apne Tajziya Pash Krte Hain Aur Hamare
Hukmiran Roz Qanoon Jamoriyat Ka Raag Alaptay Hain Aur Masahil Wahi Joo Ke Too
To Qaireen Jab Tak Hum Sub Ek 1947 Ki Tarha Ek Ho Kar Medan Main Is Buraii Ke
Khelaf Jahad Nhi Karen Gy Haq Ki Awaz Nhi Uthae Gay To Is Mulk Ki Halat Aur
Qismat Kabi Nhi Badlay Gi Qaireen Ab Hum Sub Ko Suchna Nhi Fori Tor Phar Amli
Iqdamat Krna Ho Gay Apne Iqtalafat Bhola Kar Bhair Nikalna Hain Aur Apne Mulk Ki
Qismat Aur Taqdir Ko Badalna Ho Ga Mulk Ki Taqdir Aur Qismat Ka Faisla Awam Ke
Hatho Main Hota Hain Hakimo Ke Pass Nhi To Aye Mere Hum Watano Ab Uttho Jago Aye
Mere Pakistanio.