Hyderabad Tareekh K Aainay Me

(Atique Laghari, Hyderabad)

Hyderabad Sheher River Indus K Left Bank Per Waqooa Pazeer Hay, Ye Pakistan Ke Khoobsorat Sheroon Mein Shumar Hota Hay, Sindh Ka Doosra Bara Sheher Hay. Provisional Capital Karachi Se 170 Kilometer Ke Fasle Pe Hay. Hyderabad Ka Purana Naam, Nehroon Kot Tha, Maujooda Nam, Harat Ali Ke Naam Hyderr Se Mansoob Hay. Hyderabad Apne Daur Ka Taleemi Aur Tehzeebi Markaz Huwa Karta Tha. Hyderabad Ki Abadi Is Waqt Lag Bhag 5000000 Hay. Daryae-E Sindh Ki Waja Se Hyderabad Ki Sham Pur Sukoon Aur Thandi Hawaoon Ki Waja Se Poori Duniya Mein Apni Pehchan Rakhti Hay. 1987 Tak Hyderabad Pakistan Ka Karachi Aur Lahore Ke Bad Sab Se Bara Sheher Tha Lekin Halat Ki Sitam Zareefi Ki Waja Se Aj Hyderabad Ka Panchwan Bara Sheher Hay, Lekin Bahut Jald Ye Sheher Satwan Ya Athwan Number Par Chala Jaey Ga. Is Ke Peeche Bhi Bahut Sari Wajoohat Hain.

Miyani Forest Bhi Hyderabad Mein Hay Jahan Angrezon Ke Khilaf Jang Lari Gaye Aur Hoshio Sheedi Jaise Bahadur Admi Ki Shehadat Huwi. Hyderabad Sheher Mein Koi University Nahi Hay, Lekin Hyderabad District Mein Ek University Maujood Hay, Jis Ka Nam Agricultural University Tando Jam Hay, Tando Jam Hyderabad Se 25 Kilo Meter Ke Fasley Par Hay. Lekin Hyderabad Ke Twin City Jamshoro Mein 3 Universities Hain, Liaqat Medical University, Jamshoro, Sindh University Jamshoro Aur Mehran, University Of Engineering And Technology Jamshoro, Lekin Ye Tamam Universities Pehle Dadu Dist. Mein Thi Aur Ab Ye Jamshoro District Mein Hain. Hyderabad Ke Atraf Mein , Tando Allahyar, Tando Muhammad Khan, Matiyari Aur Jamshoro District Se Boundries Milti Hain.

Hyderabad Mein Ek Cricket Ka International Stadium Maujood Hay Lekin Wahan Matches Nahi Hotey. Air Port Bhi Maujood Hay Lekin Wo Bhi 11 Saal Bad Operational Huwa Hay, Hyderabad Mein Koi 5 Star Ya 4 Star Hotel Bhi Maujood Nahi Hay. Mukhtalif Adwar Mein Hyderabad Ke Saath Bahut Sari Na Insafiyan Huwee Hain, Aur Mere Khayal Mein Hyderabad Ki Khasta Hali Ki Waja Khud Hyderabad Ki Abadi Hay.

Qayam-E- Pakistan Se Leker Aj Tak, Hyderabad Ke Log Qaumi Dhara Ki Politics Se Door Rahey Hain. Qayam-E-Pakistan Ke Baad Yahan Ki Awam Ziyada Taur Pe Mazhabi Siyasi Jamaiton Ke Saath Rahi. Aksar O Beshtar Hyderabad Se Maulana Norrani Saheb Aur Jamait-E-Islami Ka Asar Raha, Zuilfiqar Ali Bhutto Ne Jab PPP Banayee To Bhi Hyderabad Ke Awam Par ZA Bhutto Ka Jadoo Na Chal Saka Aur Hyderabad Ke Awam Mazhabi Jamaiton Ke Saath Hi Rahey, Aur Jab MQM Bani To Hyderabad Ke Awam Ne Quid-E-Tehreek Altaf Hussain Ka Saath Diya Aur 1997 Tak Hyderabad Ki Tamam Seats MQM Jeet Ti Rahi, Lekin 2002 Ke Election Mein 3 NA Seats Mein Se PPP, MMA Aur MQM Ne Ek Ek Seat Hasil Ki, Aur Provisional Ki 3 Seats MQM, 1 Seat MMA Aur Ek Seat PPP Ne Hasil Ki. Hyderabad Ke Awam Ne Kabhi Bhi Aisi Jamait Ka Saath Nahi Diya Jo Markaz Ya Province Ki Govt Banata Aur Hyderabad Ke Liyey Kuch Karta.

Hyderabad Ki Tabahi Mein 1987 Ke Baad Nasli Fasadat Jo 10 Saal Tak Rahey Bahut Hisa Raha, Jis Ki Waja Se Yahan Ki Tijarat Ko Bahut Bara Dhachka Laga, Aur Mirpur Khas Aur Tando Allahyar, Tando Muhammad Khan, Badin, Hala Aur Deegar Areas Ke Logo Ne Hyderabad Ka Rukh Chor Diya, Aur Sindhi Community Ne Apna Sara Zor Qasimabad Ki Abadkari Mein Laga Diya Aur Yoon Aj Qasimaba, Hyderabad Ka Posh Ilaqa Ban Kar Aya Aur Property Ke Lihaz Se Aj Kal Hyderabad Ka Aham Tareen Area Hay, Qasimabad Ki Tehseel Ka Darja De Diya Gaya. Hyderrabad Dist. 4 Tehseel Par Mushtamil Hay, Jis Mein, Qasimabad, Hyderabad City, Latifabad Aur Hyderabad Interior (Tando Jam).

Agar Hyderabad Ke Awam, Kissi Muslim League Ya PPP Ke Saath Qaumi Dhara Ki Siyasat Ka Saath Dete To Shayed Hyderabad Ki Is Halat-E-Zar Par Aj Ham Behes Nahi Kar Rahey Hotey. Maujooda Daur Mein Hyderabad Mein Aksariyat Urdu Bolne Waley Bhaiyoon Ki Hay. Jo Apney Quaid Ke Har Farman Pe Labaik Kehtey Hain, Lekin Un Ki Jamait Ne Bhi Hyderabad Ke Awam Ke Liyey Kuch Nahi Kiya. For Example 8 Saal Musharaf Ke Saath Rehney Ke Bawajood Hyderabad Ka Airport Band Raha Jo Maujooda Wazeer-E Nijkari Naweed Qamar Sb Ki Koshishon Se Operational Huwa. Hyderabad Se MQM Ke 2 MNA Aur 4 MPA Hain, Aur Formula Ke Mutabiq, Har 3 Seats Per Ek Reserve Seat Women Ki Hoti Hay Lekin Hyderabad Se Koi Female Seat Nahi Di, Aur Mirpur Khas Samait Hyderabad Ke 5 MPA's Bantey Hain Agar Female Ki Ek Seat Bhi Count Ki Jaey To Ye Tadad 6 Ban Jati Hay. Sindh Govt. Mein MQM Ke Total MPA's Ki Tadad 50 Se Bhi Kam Hay Aur Us Ke 15 Minister Aur 2 Musheer Hain, Hisey Ke Mutabiq Hyderabad Se 2 Ministries Milni Chahiyey Thi Lekin MQM Ne Hyderabad Se Kissi Bhi Member Ko Is Qabil Nahi Samjha Ke Wo Hyderabad Ke Awam Ke Liyey Koi Kam Kar Sakein. Aise Mein Hyderabad Ki Awam Ki Tamam Umeedon Ka Markaz Hyderabad Ke Nazim, Kanwer Naweed Jameel Sb Hain, Bila Shuba Wo Bahut Achey Kaam Kar Rahey Hain Lekin Hyderabad Ke Baqi Manda Ilaqon Ko Sarasar Nazar Andaz Kiya Ja Raha Hay.

Mere Sarey Tajziyey Se Kam Se Kam Hyderabad Ki Khsta Hali Ka Zimewar Sirf Aur Sirf Hyderabad Ke Awam Hi Hain. Aur Doosre Number Par Wo Siyasi Parties Hain Jo Iqtedar Mein Aati Hain To Hyderabad Ke Saath Sauteli Maan Wala Sulook Karti Hain. MQM Jab Bhi Opposition Mein Rahi To Hyderabad Ke Liyey Shehri University Ka Mutalba Karti Rahi Hay Lekin Ab Un Ko 10 Saal Ho Gaye Govt. Mein Ayey Huwey To Ye Cheez Bhool Gayey Hain, Balochistan Ho Ya Sawat, Wahan Ke Liyey Quid-E- Tehreek Hukoomat Se Alag Honey Ki Dhamki De Detey Hain Leki Kiya, 5 Star Hotel, Niaz Stadium Ke Liyey Match Ke Inkaad, Shehri University, Air Port Ki Tawsaee Ke Liyey Hukumat Ko Kiyoon Pressurise Nahi Kartey. Hyderabad Mein Koi Khas Tafreehgah Nahi Hay Sirf Yaha Rani Bagh Tha Jis Ko Ab Upgrade Kiya Gaya Hay Ye Wahid 5000000 Logo Ke Liyey Tafreeh Ka Zarreya Hay.

Umeed Karta Hoon, Hyderabad Ke Awam Ba Shaoor Banen Gey Aur Hamarey Hukumran Bhi Hyderabad Ke Saath Ki Gayey Ziyadatuyoon Ka Azala Karien Ge, Hyderabad Sheher Ke Darmiyan Se 3 Nehren Behti Hain, Wahan Par Khoobsoorat Park Tammer Kiyey Ja Saktey Hain, Booting Start Karwayee Ja Sakti Hay, Jughrafiyaee Taur Pe Ye Sheher Bahut Khoobnsoorat Hay Jis Ke Surrounding Mein Darya Bhi Hay, Sheher Ke Beech Mein Nehren Bhi Hain, Ek Tarf Se Pahari Silsla Bhi Hay Aur Harey Bharey Khet Bhi Hain, Agar Kuch Nahi Hay To Hukamranon Ki Soch Mein Kami Hay. Jo Sirf, Hyderabad Ki Tabahi Ko Dekh Rahey Hain.

Atique Laghari
About the Author: Atique Laghari Read More Articles by Atique Laghari: 16 Articles with 50725 views Me From Hyderabad, 36 Married working in PTCL.. View More