Kya Ye Mazak Tha?

(Mishaal S, gujarkhan)

Kabi Kabi Ham Bina Soche Samjhe Aise Mazak Karte Hain K Samne Wale Bandey Ki Jan Pe Ban Jati Hai Aik Chota Sa Waqia Apne Hi Villege Ka Sunana Chahu Gi.Gaon Mai Amooman Aisa Hota Hai Dopehr Ko Ya Sham Ko Rat Gae Tak Sare Iqathe Bethe Batain Karte Rehte Hain Phr Koi Chopal Ya Kisi Cha Cha K Gar Ko Muntakhab Kiya Jata Hai Jahan Rozana Sare Gaon Wale Iqathe Beth K Dukh Sukh Pholte Hain.Aik Bar Sardiyon Ki Sham Thi Sab Iqathe Bethe They Taqreeban 11 Baje Mehfil Ka Ikhtatam Howa Sab Uth K Apne Apne Gharu Ki Taraf Jane Lage.

Gaon Ke Kuch Shararti Larhku Ne Socha Aj Chacha Ko Darayin Ge Dekhte Hain Chacha Kis Taraf Bhage Ga.Yahi Soch Kar Sare Shetan Tez Tez Aagey A K Aik Teiley K Peche Chup Gae.Chacha G Bechare Ahista Ahista Peeche Aa Rahe They.Aik Bat Batati Chalu Chacha Ki 4 Betyan Hi Thin Beta Ya Gar Ko Chalane Wala Koi Na Tha Chacha Ki Biwi B Bemar Thi Gar Ka Ahm Satoon Chacha Hi Tha.

Bekhabar Chacha Chalte Howe Jab Teiley K Pas Pohnche To Wo Larhkey Aage Se Nikal Kar Ajeeb Daraoni Awaz Se Shor Machane Lage Chacha Bohat Buri Tarah Dar Gae Or Wahi Khetu Mai Bhagne Lage Unain Dekh K Larhku Nai Unain Relax Karne Ki Bohat Koshish Ki Bohat Kaha Chacha Ham Hain Daro Mat Dekho Ham Hi Hain Par Chacha Shor Machate Bhagte Hwe Yakdam Gir Parhe Larhke Bhagte Hwe Pas Aye.Chacha Ko Hosh Mai Lane Ki Bohat Koshish Ki Bilakhir Nabz Chek Ki Jo K Ruk Chuki Thi.

Afsoos Sad Afsoos.Ab Kya Ho Ga Bemar Bewi Jawan Betyon Ka?Kya Ye Mazak Tha?

April Fool Pe Meri Khala K Sath Kisi Ne Mazak Kiya K Ap K Betey Ka Accident Ho Gya Hai Uski Donu Tangain Tot Chuki Hain Or Halat Bohat Kharab Hai.

Is Khabar Ne Meri Khala Ko Dil Ka Mareez Bana Dia.

Is Waqie K Bad Mai Ne Ehd Kiya Na Aisa Bura Mazak Kabì Karu Gi Na Karne Du Gi Apne Samne.Jis Tarah Se Mumkin Howa Is Cheez Ko Roku Gi Apne Aas Pas Se Khatam Karne Ki Pori Koshish Karu Gi.

Ap B Aj Mujh Se Nai Khud Se Ehd Kijye Paka Wala Promise K Aisa Bura Mazak Na Karain Ge Na Karne Mai Kisi Ka Sath Dain Ge Or Jahan Tak Mumkin Ho Ga Ap Dosru Ko Rokain Ge.

*Allah Pak Ham Sab Ko Hidayat De.*Ameen*Sum Ameen*

Mishaal S
About the Author: Mishaal S Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.