8 Septenber Baroz Itwar K Din
Janab Asif Ali Zardari ‘Sadar E Pakistan’ Se ‘Sabiq Sadar E Pakistan
Hogaye.Poray Panch Saal Key Sabar Aazma Intizar Key Baad Bila Aakhir Muhattram
Ka Iqtidar Ikhtitam Pazer Hua. In Panch Salo Main Ppp , Jis K Ye Shareek
Chairmen Hen, Ne Kai Nasheb O Faraz Daikhay...Wo Iqtidar Jis K Liye Is Party Ne
Kai Dushmano Se Hath Milaya Aur Dushmano K Dar K Sawali Banay, Bhi Hath Say Gaya…
Mulk Ki Sab Se Bari Siyasi Party, Wifaq Ki Alamat Ab Sirf Sindh Tk Mehdood Ho K
Reh Gai Ha. Yani Awam Ka Tu Jo Hal Hoa So Hua, Inki Apni Party Bhi Bulandi Sey
Intaha Ki Pastiyon Main Ja Giri.
Sabiq Sadar Janab Aasif Ali Zardari Ki Siyasi Jor Tor Ki Maharat Aur Mom Ki
Tarah Mur Janey Ki Salahiyat Par Koi Do Raye To Ho Hi Nahi Sakti. Jis Tarah
Janab Ney Iqtidar Sey Chimtey Rehney Key Liey Karvey Kaseley Ghont Pieye, Kano
Main Rooi Daal Kar Galiyon Aur Tanqeedon K Suna Aur Jis Tarah Khanda Peshani Sey
Corruption Key Har Ilzam Per Aap Ne Khamoshi Ki Chadar Taney Rakhi, Ye Dekh Kar
Janab E Sadar Ko Dad Deney Ka Jee Chahta Hain.
Mohatram Sabiq Sadar ( Jinhen Har Dill Aziz Likhnay Ki Me Apni Purzor Khwahish
Ko Amli Jama Pehnany Se Qasir Hun) Ki Zindagi Har Pakistani Bal K Duniya K Har
Us Shakhs K Liye Amli Namona H Jo Khta H K Qismat Koi Chiz Nhi Hoti Bal K Kam
Kam Aur Sirf Kam Hi Apko Kamyabiyon Ki Bulandi Tak Pohnchata H.
Meray Sabiq Sadar Bilashuba Duniya K Khushqismat Tareen Insane Hn. Hamari Or
Apki Zoja Muhtarma Ka Inteqal Ho To Admi Sirf Rahat Or Sukon Ka Sans Milta Ha
Magar Janab Asif Ali Zardari Ko Ek Adad Chalti Hui Siyasi Party Mili , Mumlikat
E Khudadad Ka Iqtidar Mila.Aur Phr Aap Ney Apni Tamam Tar Salahyaton Ko Kam Main
Lakar Bechari Awam Say Inki Rahat Or Sukon Ka Hr Aik Sans Chin Liya.
Mery Sabiq Sadar Ki Zindagi Intihai Hangama Khaiz Rahi Ha. ,Inki Zindagi Main
Itnay Nasheb O Faraz Aye Key Inki Jaga Koi Aur Hota Tu Kab Ka Sudhar Jata.
Muhtaram Ki Zindagi Par To 3 Ghantay Ki Action Aur Suspense Say Bharpur Film Ban
Skti Ha, Magar Kia Karen Hamaray Azeem Filmsazon Ko Andhay Gajron Aurr 420
Hasinaoon Se Fursat Millay To Wo Is Mulk Key Asal Heroes Par Dhiyan Den..
Meary Piyaray Sadar Apnay Poray Panch Saala Door E Iqtidar Me Mufahimat Ki Azeem
Policey Par Amal Pera Rahay. Is Policy K Zer E Saya Na Sirf Inhonay Khud Bht
Kamaya Bal K Dosron Ko Bhi Yaksa Mawaqay Faraham Kiye.Apni Aseri K Dino Ki
Mushkilat Ka Mohatram Ko Itna Ehsas Tha K Pori Middat E Iqtidar Main Apne Aik
Bhi Siyasi Rehnuma Ko Sarkari Mehman Ni Bnaya. Bal K Pehlay Se Qaid O Band Ki
Saobatain Bardasht Kartay Masomoo Ko Bhi Azadi Ka Parwana Thamaya.
Algarz K Janab Sadar In Karnamo Ki Badolat Ta Qiyamat Amar Hogaye Hain. In K
Janay Par Awam Main Shaded Khushi Ka Alam Paya Jata Ha.Par Mazay Ki Baat To Ye H
K Awam Ne To In K Aanay Pr Bhi Bhangray Dalay Thy. Moaziz Sadar K Hi Kia Is
Pagli Awam Ne To Musharaf K Bhi Aanay Or Janay Par Be Panah Musaraton Ka Izhar
Kia Tha. Sabit Ye Hua K Is Khuda Dad Mumlikat Ki Awam Khushiyon Ko Tarsi Hui
Haur Isi Liye Khushiyan Mananay Ka Koi B Moqa Hath Se Nahi Janay Daity.Meri
Election Commission Se Iltimas Ha Key Wo Har Dosray Tesray Mahenay Election
Karwa Lia Karen Ta K Awam Ko Sehatmand Tafreeh Or Khushi Manany Ka Moqa Faraham
Kia Ja Saky.
Ab Janab Mammon Hussain Sahib Islami Jamhoriya Pakistan K Naye Sadar E Mumlikat
Ban Chuckay Hn. Logo Ne Inse Bhi Khasi Umiden Wabasta Kr Li Hen.Q K Umeed Py
Duniya Qaim Ho Na Ho Pakistan Zaroor Qaim Ha.Isi Pakistan Ka Aik Chota Sa Nakara
Hissa Honay K Natay Main Bhi Apnay Naye Anay Walay Sadar Se Umeed Rakhta Hon K
Wo Apnay Mithaiyan Bananey Key Tajurbay Ko Kam Main Latay Huay Awam Ki Zindagi
Main Khushiyon Ki Mithas Zuror Ghol Dain Gay Aur Jalaibi Ki Tarah Seedhay
Pakistan K Masael Ko Hal Kr K Yahan Doodh Or Shehd Ki Nehrain Baha Dain Gay…
The End…….