Akhari Khat.
Major. Imran Ahmed, Punjab Regiment, 4th Batallion.
Miranshah, North Waziristan, F.A.T.A.
August 14, 2011
Mrs. Maira Imran.
74/1 Khayaban E Bahrialahore, Punjab, Pakistan
Assalam-O-Alaikum,
Kaisi Ho Maira? Ummeed Hai Khairiat Se Hogi, Main Bhi Khairiat Se Hee Hoon.
Maira Shayad Yeh Khat Mera Aakhri Khat Ho Isliye Isko Sambhaalkar Rakhna, Kam Se
Kam Jab Tak Zaid Bara Nahin Hojaata. Kal Zaid Ki Doosri Saalgirah Thi, Main Aa
Nahin Paaya. Kaise Aata? Hum Logon Ko Ek Family Ke Liye Nahin, Humaari 18 Crore
Logon Ki Family Ke Liye Kaam Karna Parta Hai. Meri Taraf Se Zaid Ko Bohot Pyaar
Karna Aur Humaare Study Ki Cabinet Ki Sabse Aakhri Daraaz Mein Green File Ke
Neeche Ek Envelope Hai, Woh Zaid Ko Dedena. Maine Us Envelope Ko Aise Hee Waqt
Ke Liye Rakh Chorha Tha. Usmein Uske Liye Mera Tohfa Aur Ek Khat Bhi Hai Joh
Usko Akele Parhne Dena.
Is Waqt Tak Toh Is Khat Par Do Aansoo Girchuke Honge, Aakhir Tum Aurtein Itni
Emotional Kyun Hoti Ho Main Kabhi Samajh Nahin Paaya. Zaid Ko Is Tarah Ka Matt
Banaana, I Want My Son To Be Brave Just Like Me. Zaid Ki Tasveerein Dekhi Maine,
Pehle Kabhi Nahin Kaha Ab Kehraha Hoon, Woh Bilkul Tumpar Gaya Hai. Uski
Aankhein, Uske Baal, Uska Maatha, Sab Kuch Tumpar Hai. Pehle Kabhi Shayad Male
Ego Ki Waja Se Nahin Kaha, Ab Socha Keh Hee Doon. Maira Yeh Jung Bohot Mushkil
Hai Kyun Ke Is Mein India Aur America Ke Log Hamare Mulk Mai Akar Pakistan Ko
Tabah Karne Ke Peche Lage Huwe Hai Yeh Log Hum Mai Se Nahi Hai Apne Ap Ko
Taliban Kehte Hai Lakin Kharji Hai Aur India Ameica Paise Aur Weapons Deta Hai
Inko, Yahan Rehne Waale Bohot Takleef Se Guzar Rahe Hain, Sirf Isliye Taake Hum
Unke Gharon Ko Is Operation Ke Liye Istamaal Karsakein. Sab Kisi Na Kisi Tarah
Is Mulk Ke Liye Qurbaanian Dene Par Lage Huye Hain, Aakhir Yeh Mulk Hai Hee Itna
Pyaara.
Parson Humaari Duty Ek School Mein Lagaayi Gayi. Ek Foji Ke Liye Chowkidaar Ki
Tarah School Ki Rakhwaali Karne Se Bharkar Kuch Nahin Hai, Yehi Sochkar Bohot
Dair Tak Mera Muun Bana Raha. Par Phir Jab Saare Bacchon Ko School Aakar Buland
Awaaz Mein Pakistan Ka Qomi Taraana Gaate Huye Suna Toh Yoon Samjho Saara Ghussa
Pighalgaya. Un Bacchon Ko Bina Darr Ke Parhta Dekhkar Dil Ko Bohot Khushi Huyi,
Unke Chehre Mutmayeen Thay Kyunke Woh Jaante Thay Ke Kuch Nahin Hoga Kyun Ke Hum
Wahan Hain. Ek Dehshatgard Ne School Ki Imaarat Ke Andar Bomb Fix Kardiya Tha,
Agar Hum Evacuation Karvaate Toh Bohot Sa Jaani Nuqsaan Hosakta Tha, Isi Liye
Maine Wohi Kiya Joh Ek Foji Ka Farz Tha Apne Mulk Ke Bacchon Ke Liye. Maine Us
Bomb Ko Haath Mein Uthaaya Aur Usko Lekar School Ki Imaarat Se Duur Bhaag Gaya.
Bahar Jaakar Blast Hogaya Aur Main Yahan Hospital Mein Admit Hogaya. Mujhe Is
Sabka Koi Afsos Nahin Hai Maira, Kyunke Woh Bacche Salaamat Rahe. Maine Toh Foj
Join Hee Isliye Ki Thi Taake Apne Is Paak Watan Ko Apni Jaan Ka Nazraana
Desakoon. Main Shaheed Hoon Maira, Mujhe Inhi Alfaaz Mein Yaad Kiya Karna, Aur
Zaid Se Kehna Ke Woh Bhi Sabko Fakhr Se Bataaye Ke Uska Baap Mulk Ki Khidmat
Karte Waqt On Duty Shaheed Hua Hai. Zaid Bohot Pyaara Baccha Hai Maira, Aur Ab
Tumhein Akele Usko Paalna Hoga. Aaj Marte Marte Waseehat Kar Raha Hoon, Zaid Ko
Bhi Foji Banaana Maira. Is Kaam Mein Ek Ajeeb Sa Nasha Hai, Shaahadat Ka Nasha,
Mulk Ke Liye Jaan Qurbaan Karne Ka Nasha, Aur Is Nashe Ke Aage Duniya Ka Har
Kaam Pheeka Hai. Meri Maut Par Afsos Naa Karna, Jashn Manaana Kyunke Main Teen
Sau Bacchon Ko Bachaakar Jaan Deraha Hoon, Aur Waise Bhi Shaheedon Ki Maut Par
Roya Nahin Fakhr Kiya Jaata Hai.
Maira, Tumhein Ab Khud Hee Apna Khayaal Rakhna Hoga. Apne Ammi Abbu Ko Apne Paas
Bulaalena, Tumhein Akele Rehne Ki Aadat Nahin Hai. Maira Jab Tum Mere Ramp
Ceremony (Funeral) Par Aaogi Toh Wahan Meri Uniform, Medals Aur Badges Zaid Se
Collect Karvaana. Main Chahta Hoon Woh Is Umar Mein Hee Ek Foji Hone Ke Jazbe Ko
Mehsoos Kare. Bas Main Itna Kehsakta Hoon Ke Mujhe Intezaar Hai Ab Apne Mulk Ke
Hilaali Parcham Se Lipatkar Shaheed Kehlaaye Jaane Ka. Main Aaunga Apni Ramp
Ceremony Par, Dekhne Ke Liye Ek Shaheed Ki Maut Par Kitni Ronaq Hoti Hai. Jab
Mere Honour Mein Goliaan Fire Karke Salaami Diye Jaane Ki Awaaz Sununga, Tabhi
Meri Rooh Ko Sukoon Pohonchega. Ab Alvida Kehdeta Hoon Kyunke Is Sabko Kehne Ke
Baad Naa Hee Tum Aur Padhne Ka Qaabil Hogi Aur Naa Hee Main Likhne Ke. Isliye
Alvida, Apna Aur Zaid Ka Bohot Khayaal Rakhna. Tumhaare Paas Zaid Is Mulk Ki
Amaanat Hai, Aur Amaanat Ko Ek Din Lautaana Hee Hota Hai. Main Intezaar Karunga
Zaid Ki Shahaadat Ka. Khayaal Rakhna.
With Love,
Major Imran Ahmed, Punjab Regiment, 4th B
————————————————–
Subhanallah, It Is A Very Emotional Letter. I Can’t Believe This Media Overlooks
These Heroic People. Where These Very People Sacrifice Their Lives For The
Blessed Land. This Is Treason And Media Should Be Held Accountable. May Allah
Bless And Increase Their Rank Every Passing Moment And Bless Their Families
Abundantly Here And Hereafter. Ameen