Sakhti O Bad Suluki Khushbakht
Insan Ko Bad Bakhti Ki Pasti Mein Gira Deti Hai Pehle Ibn E Adam, Ibne Adam Ko
La'anat Malamat Sakhti O Nafrat Se Gumrah Krtey Hain Aur Phir Uss Ki Peshani Per
Badbakhti Ka Taj Saja Detay Hain Kaash Koe Uss Badbakht Ka Haath Muhabat Se
Thaam Kr Khush Bakhti Ka Rasta Dikha Sakay K Chhotti Se Umr Mein Jiss K Ser Se
Maa’n Ki Shafqat K Saya Uththtay He Dunia Walon Ki Bad Saluki Nay Usse Bad
Bakhti O Gumrahi K Raste Per Dal Dia Hay Kaash Koe Mehrban Muhabat Se Uss Ka
Haath Thaam Kr Bad Bakhti Se Khush Bakhti Ki Samt La Sakay Nafrat K Andheron Se
Muhabbat K Ujale Se Mila Sakay
Khudara Ibn E Adam K Saath Itni Bad Saluki Na Karo Kay Uss K Bakht Ka Sitara
Gumrahi K Andheron Mein Doob Ker Siayah Per Jaey Koe Tau Uss Muhabbat Kare Koe
Tau Usse Rah E Rast Per Laey Koe Tau Uss K Muqqadar Ka Sitara Chamka Day Koe Tau
Usse Khud Se Piar Kerna Sikha Day Kisi Ki Dua He Uss Badbakht Ko Khusbakht Bana
Day