Main Humensha Yehi Sochti Hon
Kh Kya Dhukh Share Krne Se Share Ho Jate Han?Mujhe Iska Jawab Aj Tk Ni Mila Ye
Dukh Zindgi Ka Hisa Hain Kun K Zindgi K Do Roop Hain Dukh Aur Sukh Ki Surat
Main.In Dono K Bagair Zindgi Na Mukamal Hy .Kisi K Hise Main Kushyan Ziada Hain
To Kise K Dukh .Allah Insan Ko Utni Takleaf Deta Hy Jitni Wo Bardasht Kr Ske
Khte Hain Allah Insan Ko 70 Maaon Se Bhi Ziada Muhabat Krta Hy Aik Maa Apne
Bache Ko Takleaf Main Dekh Kr Tarap Jati Hy Aur Dua Krti Hy K Takleaf Door Ho
Jay Aur Dua Aarsh Se Ja Takrati Hy Kya Dukh Maaon Ki Dua Se Kam Ho Jate Hain?Han
Mager Jis Ki Maa Hi Na Ho Us K Dukh Kaise Km Hote Hain Mera Dukh Meri Maa Ki
Maut Hy Jise Main Bholna Ni Chati Kun K Is Dukh Se Meri Maa Ki Yad Basi Hy To Ye
Dukh Meri Zindgi Hy Zindgi Kya Hy Iska Matlab Mujhe Meri Maa Ki Maut Se Mila
Meri Maa Ne Mujhe Sb Kuch Dia Aur Jate Jate Zindgi Ka Matlab Bhi Bta Dia .Mere
Dukh Mere Apne Hain Jo Share Krne Se Bhi Share Ni Hote.