Aneek Ka Istamal Chahre Ko Numaya Banae

(Sana Gondal, Lahore)

Chahre Ki Dil Kashi Ko Barhane K Lie Aneek Ka Istamal Kia Jata Hai Lakin Baz Khawateen Nazaer Ki Kamzori Ki Wja Sa Aneek Lagati Hai. Aisi Khwateen Ka Khyal Hta Hai K Chahsma Unki Khobsorti Ko Mutasir Krta Hai Lakin Aisi Koi Bat Nai Hti. Agar Chahsme Ka Intkhab Sahi Ho To Chahre Ki Dill Kashi Mai Ezafa Hota Hai. Chahsma Lagana Baqaida Ek Fun Hai Agar Ap Iss Fun Ko Jaan Lai To Yakennen Ap Aneek Ke Istamal Ke Baad Pahle Se B Zayada Haseen Ar Purkashish Nazar Ae Ge .

Aneek Ka Intaqab Krte Wqt Buhat C Batoo Ko Made Nazar Rakhna Zarroi Hai Aur Sb Se Phle Is K Lie Chahre K Banavat Ko Dakha Jata Hai. Apne Chahre Se Bara Frame Na Lai Ar Na He Bagair Kinaroo Wala Farme Istmal Kia Jae. Kai Khawateen Be Rang Frame Khrade K Lashouri Khushi Aur Sakonn Mahsoos Krti Hai. Lakin Ye Durast Nai Hai. Frame Ke Intkhab Mai Chahre Ki Shape Ko Dakhna Zarori Hai Ar Is K Sth Sth Apne Hair Style Ko B Made Nazar Rakha Jae. Agar Apka Chahra Gool Hao To Chahre K Tazad K Lie Lambe Ya Chakoor Frame Wali Aneek Istamal Karan. Agar Apne Gool Chahre K Sath Gool He Anekk Lga Li To Apka Chahra Foot Ball K Trha Nazar Ae Ga. Isi Trah Chakoor Chahre K Lie Bezooi Shakal Ka Frama Munasib Lage Ga. Agar Apka Chahra Kitabi Hai To App Hr Kisam Ka Frame Istamal Kr Sakti Hain. Agar Naak Lambi Hai To Nichle Pull Wala Chahsma Lagae. Choti Naak K Lie Lambe Pull Wala Chahsma Istamal Kia Jae. Chipti Naak K Lie Ghare Rang K Pull Ka Chahsma Nahayat Mozoo Hai Is Se Chahre Ki Dill Kashi Mai Izafa Hta Hai Aur Naak B Chapti Nai Lagti.Ar Agar Apki K Ankhoo K Darmayyan Fasla Kam Hai To Us Sorat Mai Halke Rang Ka Frame Lagai. Safeed Jild Ar Sunehri Baloo Ki Hamil Khawateen Ko Gulabi,Green, Ar Blue Rang Ke Frame Istamal Krne Chahye. In Se Kashish Mai Ezafa Hta Hai Ar In Batoo Ko Made Nazar Rkhne Se Apka Husan Mazees Khil Uthe Ga.
 

Sana Gondal
About the Author: Sana Gondal Read More Articles by Sana Gondal: 3 Articles with 2770 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.