Eik Guzarish Ya Sawal
(Imtiaz Rajar, Hyderabad)
Mei Un Muslims Me Se Hu Jo Juma
Ky Namaaz(Prayer) Ko Sirf Apne Uper Farz Samjhte Hain ...Or Baki Muslimaanon Ki
Tarha Mei Bhi Khud Ko Imaan Wala Samjh Leta Hu Aur Kabhi Kabhi Dosroon Ko Bhi
Talqeen Kar Leta Hu...Wese To Har Juma Ko Mei Masjad Ka Rukh Karta Hu, Kal Bhi
University Se Aane Key Baad Meine Misjid Ka Rukh Kia ....Aur Wazoo Karne Key
Baad Khutba Sunne Ki Saadat Hasil Kar Rha Tha Tab Mery Nazar Pass Mei Rakhy Hue
Shoes Par Pari Aur Mei Dekhta Rha Key Har Aane Wala Apne Sath Shoes Ko Bhi Apne
Qareeb Rakh Raha Hai ........Is Baat Pe Meujhe Dil Hi Dil Mei Ghusa Aaya Key
Logoon Ko Namaaz Se Zaida Apne Choti Chezzon Ki Parwa Hai Jo Kahi Bhi Raddy Mei
Mil Sakty Hain Yeh Question Bohut Molvi Hazrat Se Bhi Poucha Gya Hai Lekin Wo
Koi Jawab Nahi Dete........Mei Nahi Janta Key Mai Ghalat Hu Ya Sahei Lekin Mujhe
Lagta Hai K Aaj Hum Muslimaan Agar Peechey Hain To Is Waje Se Hai K Hum Ne Apne
Mazhab Ka Ahtraam Khatam Kar Diya Hai ......